Reciter: Mir Sajjad Mir
Tareekh E Karbala Hai Yeh Tareekh E Karbala
Haye Ghareeb Hussain Haye Ghareeb Hussain
Aao Sunaun Tum Ko Main Tareekh E Karbala
Yani Ghareeb E Fatima Zehra Ka Marsiya
Zehra Ka Laal Sham Ki Faojon Mein Tha Ghira
Qurban Ho Chuky Thy Sab Ansar O Aqraba
Ghurbat Ki Bay Kasi Thi Shah E Mashriqain Thy
No Lakh Faoj E Sham Mein Tanha Hussain Thy
Haye Ghareeb Hussain Haye Ghareeb Hussain
Tanhai Dhundti Hai Woh Lashkar Kidhar Gaya
Tooti Hui Kamar Hai Jawan Bhai Mar Gaya
Noor E Nazar Ky Sath Hi Noor E Nazar Gaya
Armaan Tha Jis Ki Shadi Ka Woh Bhi Guzar Gaya
Rota Hai Dil Shabeeh E Payambar Nahi Raha
Sughra Ki Yad Ati Hai Akbar Nahi Raha
Haye Ghareeb Hussain Haye Ghareeb Hussain
Main Kis Tarha Bayan Karun Us Waqt Kya Tha Haal
Kha Kar Sitam Ka Teer Jo Asghar Hua Nidhal
Jab Hichkian Woh Leta Tha Masoom Nonahaal
Bano Na Dekh Len Kahin Sheh Ko Tha Yeh Khayal
Jitna Lahu Ugal Diya Maah E Muneer Nay
Utna To Doodh Bhi Na Piya Tha Sagheer Nay
Haye Ghareeb Hussain Haye Ghareeb Hussain
Bachay Ki Apny Qabar Bananay Lagy Hussain
Khud Bay Basi Ki Lash Uthanay Lagy Hussain
Pyasay Labon Py Ashk Giranay Lagy Hussain
Matti Mein Apna Chand Chupanay Lagy Hussain
Thi Itni Garm Rait Keh Ghabra Gaye Hussain
Chehray Py Khak Daal Ky Tharra Gaye Hussain
Haye Ghareeb Hussain Haye Ghareeb Hussain
Roty Huye Imam Jo Khaimy Ky Darr Py Aye
Thy Hamsafar Hussain Ky Tanhaiyon Ky Saye
Awaz Kis Ko Dy Kisy Mazloom Ab Bulaye
Koi Nahi Bacha Mery Mola Ka Haye Haye
Aai Sada Yeh Fikar Keh Shah E Umam Na Kar
Zainab Tujhy Sawar Karaye Gi Ham Nagar
Haye Ghareeb Hussain Haye Ghareeb Hussain
Aye Hussain Gham Mein Safon Ki Safai Ki
Aadaa Sy Bhook Pyas Mein Aisi Larhai Ki
Faojon Sy Aa Rahi Thiin Sadayen Duhaai Ki
Aisy Mein Sheh Ko Lash Nazar Aai Bhai Ki
Goonji Sada Yeh Fatima Zehra Ky Chain Ki
Abbas Uth Ky Dekho Larhai Hussain Ki
Haye Ghareeb Hussain Haye Ghareeb Hussain
Baten Tasawwuraat Mein Karty Thy Shah E Deen
Itny Mein Ghairny Lagy Mola Ko Sab Laeen
Ghorhy Py Dagmagaa Gaya Zehra Ka Mehjabeen
Bibi Pukarti Thiin Batao To Ahl E Keen
Pyasay Ho Kiun Lahu Ky Ghareeb U Dayaar Ki
Tum Ko Mily Ga Kya Mery Bachy Ko Maar Kay
Haye Ghareeb Hussain Haye Ghareeb Hussain
Sajjad Kya Bayaan Ho Woh Karb Ki Gharhi
Chalnay Lagi Jo Halq Py Mazloom Ky Churi
Sattar Qadam Sy Aik Behan Dekhti Rahi
Toheen Shimr Karta Tha Zainab Ky Bhai Ki
Kehti Thi Ghazi Aa Ky Bachana Hussain Ko
Jab Shimr Marta Tha Tamancha Hussain Ko
Haye Ghareeb Hussain Haye Ghareeb Hussain