Reciter: Mir Hasan Mir

Ya Ali Ya Ali Ya Ali Ya Ali

 

Sahib E Zulfiqar Al Madaday

Kam Mushkil Hai Ba Imdad E Khuda Kar Dun Ga
Aaj Main Ishq Ka Toofan Bapa Kar Dun Ga

Karny Do Mujhe Saqi E Kausar Ki Sana

Raz Allah Ki Toheed Hai Hamraaz Ali
Kibriyai Ki Daleelon Ka Hai Aghaaz Ali
Dil E Bey Dil Sy Jo Nikli Hai Woh Awaz Ali
Aasman Saz Zameen Saz Bashar Saz Ali
Kar E Takhleeq Ba Taeed E Ahad Karta Hai
Yeh Woh Banda Hai Jo Khaliq Ki Madad Karta Hai

Karny Do Mujhe Saqi E Kausar Ki Sana

Mimbar E Aalam E Imkan Ka Khateeb E Azam
Bolta Tha To Thehar Jaty Thy Lamhon Ke Qadam
Mera Is Bat Py Emaan Hai Quran Ki Qasam
Larhkharhata Na Jo Kam Zarf Nusehri Us Dam
Apny Hubdaron Ko Nabiyon Se Barha Dety Ali
Aik Aik Shakhs Ko Salman Bana Dety Ali

Karny Do Mujhe Saqi E Kausar Ki Sana

Wahi Jibreel Hi Laty Thy Yeh Emaan Hai Mera
Is Rawish Par Bhi Zara Sochiye Ay Ehl E Wila
Aagy Sidra Sy Farishta Yeh Ja Nahi Sakta
Phir Yeh Quran Bhala Kis Ki Badolat Pahuncha
Nutk Allah Ka Mola Mere Ban Jaty Thy
Jo Ali Kehty Thy Jibreel Wahi Laty Thy

Karny Do Mujhe Saqi E Kausar Ki Sana

Jis Ki Marzi Hai Muqaddar Woh Sikandar Hai Ali
Jis Se Sadir Huye Masoom Woh Masdar Hai Ali
Jo Hai Toheed Ke Izhar Woh Mazhar Hai Ali
Jo Bhi Parda Shab E Mairaj Ka Sarkaye Ga
Us Ko Allah Nahi Haider Hi Nazar Aaye Ga

Karny Do Mujhe Saqi E Kausar Ki Sana

Ay Azadaro Hamen Phir Se Sambhalna Ho Ga
Apne Kirdar Se Mahol Badalna Ho Ga
Torh Kar Waqt Ki Zanjeer Nikalna Ho Ga
Raah E Salman Py Emaan Se Chalna Ho Ga
Hum Muhibbon Pe Jo Waa Zulm Ka Darwaza Hai
Yeh Ali Ko Na Samajhny Ka Hi Khamiaza Hai

Karny Do Mujhe Saqi E Kausar Ki Sana

Madh E Haider Mein Takallum Yeh Taqaiyya Kaisa
Maslihat Kaisi Ana Kaisi Bahana Kaisa
Waqt Ke Sath Aqeedey Ko Badalna Kaisa
Maot Ani Hai To Phir Maot Se Khatra Kaisa
Band Yeh Ishq Ka Yeh Darwaza Nahi Kar Sakta
Main Ali Par Koi Samjhota Nahi Kar Sakta

Karny Do Mujhe Saqi E Kausar Ki Sana

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply