Karwan E Imam E Zaman Lyrics Imam Mahdi Noha Arbaeen Taha Mehdi
Karwan E Imam E Zaman Lyrics in Urdu and English text recited by Taha Mehdi. An Imam Mahdi Noha on Arbaeen.
Karwan E Imam E Zaman Lyrics in English text
Mola Labaik Aaqa Labaik
Hum Aa Rahy Hain Najaf Sy Karbala
Karwan Karwan Karwan
Karwan E Imam E Zaman
Janib E Karbala Hai Rawaan
Karwan E Imam E Zaman
Ya Imam E Zaman Ya Imam E Zaman
Jan Nisaran E Shah E Huda
Jan Deny Ko Tayar Hain
Karbala K Mujahid Hain Yeh
In K Lehjy Bhi Talwar Hain
Dy Rahy Hain Jo Haq Ki Azan
Karwan E Imam E Zaman
Karwan Karwan Karwan
Karwan E Imam E Zaman
Hai Yeh Lashkar Ki Tayarian
Matami Sary Baidar Hain
Aarzoo E Shahadat Liye
Yeh Jawan Sary Mukhtar Hain
Jazba Ishq Hai Jawedaan
Karwan E Imam E Zaman
Karwan Karwan Karwan
Karwan E Imam E Zaman
Dekh Lo Qatilo Dekh Lo
Sheh Ka Matam Na Har Giz Ruka
Lakh Toofan Aye Yahan
Farsh E Gham Phir Bhi Kam Na Hua
Rok Paiin Na Yeh Sakhtian
Karwan E Imam E Zaman
Karwan Karwan Karwan
Karwan E Imam E Zaman
Rah E Zulmat Py Ab Jo Chala
Maot Sy Apni Takraye Ga
Dushman E Fatima Yeh Bata
Bach Ky Ab Tu Kahan Jaye Ga
Tujh Py Girny Ko Hain Bijlian
Karwan E Imam E Zaman
Karwan Karwan Karwan
Karwan E Imam E Zaman
Chehra E Qatilaan E Hussain
Muntaqim Ki Nigahon Mein Hai
Aany Wala Hai Qahr E Khuda
Woh Jo Ghaibi Hijabon Mein Hai
Intiqam E Khuda Al Amaan
Karwan E Imam E Zaman
Karwan Karwan Karwan
Karwan E Imam E Zaman
Wird E Kaba Hai Yeh Subh O Sham
Al Ajal Al Ajal Ya Imam
Mujh Ko Ghaira Hai Taghoot Ny
Mere Maola Karo Ab Qayam
Muntazir Hai Khuda Ka Maqam
Karwan E Imam E Zaman
Karwan Karwan Karwan
Karwan E Imam E Zaman
Aaye Ga Ek Haseen Inqalaab
Shar Pasandon Ka Ho Ga Hisaab
Karny Zulm O Sitam Bey Naqab
Aye Ga Waqt Ka Bu Turab
Woh Jo Hai Mustafa Ka Nishan
Karwan E Imam E Zaman
Karwan Karwan Karwan
Karwan E Imam E Zaman
Zainabi Maon Behnon Tumhen
Fatima Dy Rahi Hain Dua
Goud Mein Nanhy Bachy Liye
Tum Jo Karti Ho Matam Bapa
Khud Khuda Tum Py Hai Meharban
Karwan E Imam E Zaman
Karwan Karwan Karwan
Karwan E Imam E Zaman
Apny Ashar Ki Taigh Se
Aaj Taha Yeh Paigham Do
Misl E Hurr Rann Ki Janib Barho
Apny Mola Sy Inaam Lo
Kat Do Zalimon Ki Zubaan
Karwan E Imam E Zaman
Karwan Karwan Karwan
Karwan E Imam E Zaman
Leave a Reply