Reciter: Nadeem Sarwar
Kofey Ka Aur Sham Ka Manzar
Yad Jab Aa Jata Hai Baba
Dil Mera Phat Jata Hai Baba
Kofey Ka Aur Sham Ka Manzar
Kofey Ka Aur Sham Ka Manzar
Qabr Pay Shabbir Ki Kartay Thay Abid Buka
Ho Gai Kya Kya Jafa Sun Yeh Shah E Karbala
Sar Py Kisi Ky Na Thi Chadar
Yad Jab Aa Jata Hai Baba
Dil Mera Phat Jata Hai Baba
Kofey Ka Aur Sham Ka Manzar
Aik Rasan Mein Bandhay Chotay Barhon Kay Galay
Barsar E Darbar Sab Is Tarha Laye Gaye
Kothon Say Barsatay Thay Pathar
Yad Jab Aa Jata Hai Baba
Dil Mera Phat Jata Hai Baba
Kofey Ka Aur Sham Ka Manzar
Kofey Ka Bazar Mein Majma E Kuffar Mein
Aik Tamasha Sa Tha Aal E Sitamgar Mein
Aisay Mein Maan Behnen Khulay Sar
Yad Jab Aa Jata Hai Baba
Dil Mera Phat Jata Hai Baba
Kofey Ka Aur Sham Ka Manzar
Taoq Say Har Giz Na Tha Baba Mera Sar Jhuka
Hath Karhi Aur Bairhi Ka Koi Mujhay Gham Na Tha
Daikha Nahi Jata Tha Manzar
Yad Jab Aa Jata Hai Baba
Dil Mera Phat Jata Hai Baba
Kofey Ka Aur Sham Ka Manzar
Bali Sakina Ka Gham Dill Yeh Nahi Bhoolta
Sab Ky Thay Shanay Bandhay Us Ka Bandha Tha Gala
Dard Say Woh Rehti Thi Muztar
Yad Jab Aa Jata Hai Baba
Dil Mera Phat Jata Hai Baba
Kofey Ka Aur Sham Ka Manzar
Meri Phuphi Jan Thiin Balway Mein Jo Sar Khulay
Naizay Say Ammu Meray Farsh Py Gir Parhtay Thay
Haye Chacha Jan Ka Safar
Yad Jab Aa Jata Hai Baba
Dil Mera Phat Jata Hai Baba
Kofey Ka Aur Sham Ka Manzar
Lay Kay Gaye Jab Hamen Bazm E Sitamgar Mein
Saat So Kursi Nasheen Baithay Thay Darbar Mein
Takht Py Baitha Tha Sitamgar
Yad Jab Aa Jata Hai Baba
Dil Mera Phat Jata Hai Baba
Kofey Ka Aur Sham Ka Manzar
Jab Kiya Sajjad Say Aa Ky Kisi Nay Sawal
Guzra Kahan Par Imam Aap Ko Zyada Malal
Kehtay Thay Ash Shaam Mukarrar
Yad Jab Aa Jata Hai Baba
Dil Mera Phat Jata Hai Baba
Kofey Ka Aur Sham Ka Manzar
Maqtal O Tareekh Bhi Kar Na Sakay Haq Ada
Likhay Anees E Hazeen Giriya E Abid Ko Kya
Kehtay Thay Yeh Abid E Muztar
Yad Jab Aa Jata Hai Baba
Dil Mera Phat Jata Hai Baba
Kofey Ka Aur Sham Ka Manzar