Reciter: Farhan Ali Waris
Sham E Ghareeban Sham E Ghareeban
Har Taraf Aik Hi Manzar Hai Laho Aag Dhuwan
Mery Daman Ka Muqaddar Hai Laho Aag Dhuwan
Kon Aye Ga Sakina Ki Guhan Par Baba
Chaar Janib Yeh Darindy Hain Yahan Par Baba
Aap Ka Sar Bhi Rakha Nok E Sinan Par Baba
Mery Daman Ka Muqaddar Hai Laho Aag Dhuwan
Har Taraf Aik Hi Manzar Hai Laho Aag Dhuwan
Khak Hai Sar Mein Bayaban Ki Rida Koi Nahi
Zakhm Itny Hain Kalaijy Mein Dawa Koi Nahi
Qatl Sab Ho Gaye Maqtal Mein Bacha Koi Nahi
Mery Daman Ka Muqaddar Hai Laho Aag Dhuwan
Har Taraf Aik Hi Manzar Hai Laho Aag Dhuwan
Chahny Waly Sar E Dasht Mujhy Chorh Gaye
Sans Ky Sath Mery Ranj O Alam Jorh Gaye
Mery Ammu Bhi Umeedon Ko Meri Torh Gaye
Mery Daman Ka Muqaddar Hai Laho Aag Dhuwan
Har Taraf Aik Hi Manzar Hai Laho Aag Dhuwan
Haye Ab Kis Ko Sada Dun Main Bulaun Kis Ko
Zakhm Jo Dill Py Lagy Hain Woh Dikhaun Kis Ko
Kish Ky Alaam Ki Roodad Sunaun Kis Ko
Mery Daman Ka Muqaddar Hai Laho Aag Dhuwan
Har Taraf Aik Hi Manzar Hai Laho Aag Dhuwan
Bey Kasi Ranj O Alam Tashna Labi Noha Gari
Kam Sadaat Ka Hai Sham O Sahar Seena Zani
Haye Aalaam O Masayeb Sy Jigar Hai Chalni
Mery Daman Ka Muqaddar Hai Laho Aag Dhuwan
Har Taraf Aik Hi Manzar Hai Laho Aag Dhuwan
Lut Gai Aal E Nabi Gham Sy Bura Hal Hua
Dill Bhi Lashon Ki Tarha Dasht Mein Pamal Hua
Khoon E Shabbir Baha Charkh E Kuhan Laal Hua
Mery Daman Ka Muqaddar Hai Laho Aag Dhuwan
Har Taraf Aik Hi Manzar Hai Laho Aag Dhuwan
Gardish E Waqt Ny Yeh Din Bhi Dikhaye Baba
Mainy Is Umar Mein Woh Sadmy Uthaye Baba
Mujh Ko Zalim Ny Tamanchy Bhi Lagaye Baba
Mery Daman Ka Muqaddar Hai Laho Aag Dhuwan
Har Taraf Aik Hi Manzar Hai Laho Aag Dhuwan
Sath Alfazon Ny Chorha Hai Likhun Kya Mazhar
Ankh Sy Behny Laga Ashkon Ka Dariya Mazhar
Tha Yehi Dukhtar E Shabbir Ka Noha Mazhar