Reciter: Joan Rizvi

Hussain Hussain

Mola Hussain Mola Hussain Mola Hussain (2)

Hussain Badshah Hussain Shehanshah
Hussain Hussain Rahnuma Hussain

Maalik E Karb O Bala Ya Hussain (4)

Maalik Ya Hussain (4)

Maalik E Karb O Bala Ya Hussain (4)

Bich Gaya Farsh E Aza Chaai Muharram Ki Fiza
Har Taraf Goonj Rahi Hai Tery Matam Ki Sada
Yeh Tery Gham Ka Hi Sadqa Hai Hussain Ibn E Ali
Aa Gaiin Fatima Zahra Jo Aza Khana Saja
Sukoon E Dil Tera Hi Gham Qadam Qadam Tera Karam
Jahan Jahan Gai Nazar Hain Tery Ghazi Ky Alam
Har Azadar Tera Ya Hussain
Dy Raha Hai Yeh Sada Ya Hussain

Maalik Ya Hussain (4)

Maalik E Karb O Bala Ya Hussain (2)

Yeh Azadari, Alamdari Yeh Pursa Dari
Har Yazeedi Py Hai Bas Khaof Isi Ka Taari
Roknay Waly Yeh Ailaan Hamara Sun Len
Hashr Tak Maatam E Shabbir Rahy Ga Jaari
Zulm Huye Sitam Sahy Qadam Hamary Na Ruky
Haye Hussaina Ki Sada Dety Rahy Chalty Rahy
Kon Roky Ga Bhala Ya Hussain
Hum Hain Zahra Ki Dua Ya Hussain

Maalik Ya Hussain (4)

Maalik E Karb O Bala Ya Hussain (2)

Meri Sanson Ka Nahi Koi Bharosa Mola
Dil Hai Bechain Sada Sun Ly Ghareeb E Zahra
Tum Ko Akbar Ki Qasam Ab Ho Karam Yeh Mujh Par
Jeety Jee Dekh Lun Ek Bar Tumhara Roza
Hai Karbala Sukoon E Man Hai Karbala Junoon E Man
Wahan Jahan Tera Lahu Bahy Wahan Py Khoon E Man
Hai Yeh Armaan Mera Ya Hussain
Jaun Main Karb O Bala Ya Hussain

Maalik Ya Hussain (4)

Mola Hussain Mola Hussain Mola Hussain (2)

Maalik E Karb O Bala Ya Hussain (2)

Misl E Hurr Mera Muqaddar Bhi Jaga Dy Maola
Mery Maathy Py Bhi Romal Saja Dy Maola
Ay Mery Maola O Aaqa Main Tera Khadim Hun
Jaisa Tu Chahy, Mujhy Wesa Bana Dy Maola
Sun Ly Mery Dil Ki Sada Maola Mujhy Apna Bana
Naam Tera Lab Py Rahy Mujh Ko Nahi Khaof E Qazaa
Ay Zamany Ki Baqa Ya Hussain
Zindagi Tum Py Fida Ya Hussain

Maalik Ya Hussain (4)

Maalik E Karb O Bala Ya Hussain (2)

Teri Khilqat Py Do Aalam Ka Khuda Naaz Karay
Us Sy Naraz Hai Rab Jo Tujhy Naraz Kary
Tu Jisy Chahy Ata Kar Dy Pisar Ay Maola
Tery Jhooly Sy Jo Mas Ho To Wo Parwaz Kary
Fitrus O Raahib Ny Kaha Jo Bhi Mila Tujh Sy Mila
Tu Hai Sakhi Ibn E Sakhi Teri Ata Sab Sy Juda
Ay Dil E Sher E Khuda Ya Hussain
Ay Muhammad Ki Dua Ya Hussain

Maalik Ya Hussain (4)

Maalik E Karb O Bala Ya Hussain (2)

Ay Azadaro Suno Farz Nibhana Hai Tumhen
Apny Bachon Ko Azadar Banana Hai Tumhen
Dy Ky Abbas Dilawar Ka Alam Hathon Mein
Ek Wafadar Alamdar Banana Hai Tumhen
Chahy Chaly Jaisi Hawa Bujh Na Saky Ab Yeh Diya
Bichta Rahy Farsh E Aza Jari Rahy Yeh Silsila
Bas Rahy Labb Py Sada Ya Hussain
Zikr Hai Sab Sy Bara Ya Hussain

Maalik Ya Hussain (4)

Maalik E Karb O Bala Ya Hussain (2)

Haye

Haye Ashoor Ka Din Kaisy Qayamat Laya
Barchi Akbar Ko Lagi Chid Gaya Seena Us Ka
Qasim O Aon O Muhammad, Ali Asghar Na Rahy
Jis Sy Dharas Thi Wo Abbas Dilawar Na Raha
Jab Koi Baqi Na Raha Maola Tu Hi Ran Ko Chala
Pyasa Hazaron Sy Larha Ghaib Sy Aai Yeh Sada
Laot Aa Rabb E Wafa Ya Hussain
Tujh Sy Raazi Hai Khuda Ya Hussain

Jab Suni Tu Ny Sada Shukr E Khuda Karny Laga
Teer Barsaye Gaye Maara Kisi Ny Naiza
Fatima Zahra Ny Kis Tarha Sambhala Tujh Ko
Haye Maqtal Mein Tu Jab Khaak Py Ghorhy Sy Gira
Shimr Laeen Taigh E Jafa Thaamy Huye Aagy Barha
Seeny Py Zaanu Ko Rakha Aur Gala Kaat Gaya
Thi Yeh Zahra Ki Sada Ya Hussain
Kat Gaya Tera Gala Ya Hussain

Mola Hussain Mola Hussain Mola Hussain (2)

Maalik E Karb O Bala Ya Hussain (2)

Har Azadar Ka Tujh Sy Hi Bharam Hai Mola
Tery Matam Ka Sabab Seenon Mein Damm Hai Maola
Tery Aashiq Tery Nokar Hain, Tery Zaakir Hain
Jaon O Zeeshan Py Tera Hi Karam Hai Mola
Ashk E Aza Behty Rahy Gham Mein Tery Jeety Rahy
Haye Husssaina Ki Sada Dety Rahy, Roty Rahy
Kya Muqaddar Hai Mera Ya Hussain
Labb Py Noha Hai Tera Ya Hussain

Maalik Ya Hussain (4)

Maalik E Karb O Bala Ya Hussain (4)

Mola Hussain Mola Hussain (2)

Hussain Badsha Hussain Shehansha
Hussain Hussain Rahnuma Hussain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply