Reciter: Farhan Ali Waris
Haye Haye
Barsar E Karbala Zakhmon Say Choor Choor Hai Hussain
Maan Dasht E Khooni Mein Karti Rahi Yeh Bayn
Haye Haye Haye
Maan Agai Hussain
Maan Agai Hussain
Jis Roz Watan Chorh Ky Nikla Tha Meri Jaan
Nikli Thi Teray Sath Baqaiya Say Teri Maan
Ahl E Jinaan Bhi Gham Mein Huye Chak Girehbaan
Nana Bhi Teray Khak Urhatay Hain Meri Jaan
Phat’ta Hai Kalaija Haye Hussain
Kartay Huye Noha Haye Hussain
Maan Agai Hussain
Zakhmon Say Teray Khak Churhaun Gi Ay Hussain
Zaanoo Py Tujhay Apnay Sulaun Gi Ay Hussain
Marham Main Aansuon Ka Lagaun Gi Ay Hussain
Main Maan Hun Teray Dard Bataun Gi Ay Hussain
Aa Seenay Say Lag Ja Haye Hussain
Aaram Say So Ja Haye Hussain
Maan Agai Hussain
Bachpan Mein Teray Naaz Uthati Thi Teri Maan
Zaanu Py Tujhay Apnay Sulati Thi Teri Maan
Khud Bhooki Reh Ky Tujh Ko Khilati Thi Teri Maan
Aghosh Mein Jhoola Bhi Jhulati Thi Teri Maan
Ay Naazon Kay Palay Haye Hussain
Ab Ashk Pilanay Haye Hussain
Maan Agai Hussain
Kya Hal Laeenon Nay Kiya Daikh Rahi Hun
Main Pehli Muharram Say Jafa Daikh Rahi Hun
Hain Tishna Dahan Aal E Abaa Daikh Rahi Hun
Honton Py Teray Shukr E Khuda Daikh Rahi Hun
Tu Dasht Mein Tanha Haye Hussain
Denay Ko Dilasa Haye Hussain
Maan Agai Hussain
Tu Ban Mein Akela Hai Koi Pas Kahan Hai
Duniya Ko Teray Dard Ka Ehsas Kahan Hai
Hanstay Hain Sitam Gar Koi Aas Kahan Hai
Akbar Hai Kahan Aur Tera Abbas Kahan Hai
Ek Ek Ko Pukara Haye Hussain
Jab Koi Na Aaya Haye Hussain
Maan Agai Hussain
Qasim Ky Tukrhay Mainy Samaitay Hain Teray Sath
Maqtal Mein Saray Lashay Uthaye Hain Teray Sath
Furqat Ky Zakhm Mainay Bhi Khaye Hain Teray Sath
Gham Tishnagi Ky Mainay Bhi Paye Hain Teray Sath
Jab Zeen Say Gira Tha Haye Hussain
Main Karti Thi Noha Haye Hussain
Maan Agai Hussain
Aaya Nahi Zameen Py Beta Tera Badan
Us Tar Sitam Hai Pyaas Say Sookha Hua Dahan
Manzar Yeh Gham Ka Daikh Rahi Hai Teri Behan
Karti Hai Bayn Ay Meray Mazloom Bey Watan
Yeh Zulm Jo Daikha Haye Hussain
Zainab Nay Bulaya Haye Hussain
Maan Agai Hussain
Teray Badan Say Teer Nikalay Gi Teri Maan
Ab Har Qadam Py Tujh Ko Sambhalay Gi Teri Maan
In Zaalimon Say Tujh Ko Chupa Lay Gi Teri Maan
Teray Dukhon Ka Bojh Utha Lay Gi Teri Maan
Tu Kitna Hai Pyasa Haye Hussain
Dainay Ko Dilasa Haye Hussain
Maan Agai Hussain
Farhan Jo Mazhar Nay Masayeb Raqam Kiye
Ruktay Nahi Hain Ankhon Say Ashkon Ky Qafilay
Jo Bayn Sayeda Nay Sar E Dasht Kiye Thay
Lafzon Ki Shakal Mein Sar E Qirtaas Aa Gaye
Kehti Thiin Sayeda Haye Hussain
Ay Laal Na Ghabra Haye Hussain
Maan Agai Hussain