Reciter: Umair Zubair

Nabi Kay Nawasay

Ya Hussain

Madinay Kay Syed Nabi Kay Nawasay
Ghareeb Ul Watan Teen Din Sy Hain Pyasay

Yeh Karbal Mein Kaisi Qayamat Machi Hai
Jabeen E Sharafat Jhuki Kiun Hui Hai
Yeh Kis Ny Jalaye Hain Khaimy Batao
Kahani Yeh Kis Ny Likhi Zulm Ki Hai
Yeh Karbal Ki Tapti Hui Khak Dekho
Ali Ky Chaman Ka Lahoo Pee Rahi Hai

Madinay Kay Syed Nabi Kay Nawasay
Ghareeb Ul Watan Teen Den Sy Hain Pyasay

Musafir Hain Yeh Fatima Ki Gali Kay
Yeh Teeron Sy Chalni Hain Bety Ali Kay
Yeh Shehar E Madina Ky Hain Rehny Waly
Ghareeb Ul Watan Hain Nawasay Nabi Kay
Sada Aai Zainab Ky Khaimy Sy Mola
Juda Is Tarah Na Hon Bhai Kisi Ka

Madiny Ky Syed Nabi Ky Nawasy
Ghareeb Ul Watan Teen Din Sy Hain Pyasay

Fizaa Karbala Ki Pukari Khudaya
Ali Zaadion Par Yeh Kya Waqt Aya
Zameen Ro Rohi Hai Falak Par Hai Surkhi
Lahoo Mein Nahaya Hai Zahra Ka Jaya
Udasi Mein Doobi Hai Shaam E Ghareeban
Idhar Dekhiye Zulmaton Ka Hai Saya

Madine Ke Syed Nabi Ke Nawase
Ghareeb Ul Watan Teen Din Se Hain Pyase

Hua Aj Chalni Aqeedat Ka Seena
Murawwat Muhabbat Ko Aaya Paseena
Na Pardais Mein Baap Bichray Kisi Ka
Barhay Dard Sy Yeh Pukari Sakina
Bata Bhai Sajjad Ghar Jayen Kaisy
Barhi Door Hai Karbala Sy Madina

Madinay Kay Syed Nabi Kay Nawasay
Gharib Ul Watan Teen Din Say Hain Pyasay

Yeh Farooqi Hai Mustafa Ki Nishani
Nahi In Ka Koi Zamanay Mein Saani
Yehi Hain Shariat Ki Basti Ky Baani
In Hi Ko Fazeelat Mili Aasmani
Yeh Pyasay Huye Qatal Jo Karbala Mein
In Hi Ky Hai Qabzay Mein Kosar Ka Pani

Madinay Kay Syed Nabi Kay Nawasay
Ghareeb Ul Watan Teen Din Say Hain Pyasay

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply