Reciter: Farhan Ali Waris

Haye Sajjad Haye Beemar

Main Chal Bhi Nahi Sakta Qaidi Hun Main Amman

Main Chal Bhi Nahi Sakta

Bazar E Sham Jab Aaya
Sajjad Ka Dill Ghabraya
Ro Ro Ky Phuphi Say Apni
Beemar Nay Yeh Farmaya

Qaidi Hun Main Amman
Main Chal Bhi Nahi Sakta

Ankhon Say Lahoo Meri
Ek Pal Bhi Nahi Rukta
Main Chal Bhi Nahi Sakta

Qaidi Hun Main Amman
Main Chal Bhi Nahi Sakta

Yeh Khoon Jo Behta Hai
Is Aankh Ka Matam Hai
Mujhay Taoq Aur Bairhi Kay
Gham Say Bhi Siwa Gham Hai
Maan Behn Phuphi Aaiin
Bazar Mein Bey Parda

Qaidi Hun Main Amman
Main Chal Bhi Nahi Sakta

Bas Meray Kalaijay Pay
Us Waqt Qaza Utri
Namoos E Muhammad Ki
Jis Waqt Rida Utri
Bazar Mein Aaya Hai
Zinda Yeh Mera Lasha

Main Chal Bhi Nahi Sakta
Qaidi Hun Main Amman
Main Chal Bhi Nahi Sakta

Tatheer Ky Parwarda
Ummat Nay Phiraye Hain
Us Bibi Ko Logon Nay
Darbar Dikhaye Hain
Jis Bibi Ka Baba Nay
Chehra Bhi Nahi Daikha

Main Chal Bhi Nahi Sakta
Qaidi Hun Main Amman
Main Chal Bhi Nahi Sakta

Jab Ahl E Sitam Hum Par
Barsanay Lagay Pathar
Kya Janiye Kya Guzri
Us Waqt Meray Dill Par
Jab Maan Nay Kaha Mujh Say
Tum Kon Ho Ay Beta

Main Chal Bhi Nahi Sakta
Qaidi Hun Main Amman
Main Chal Bhi Nahi Sakta

Lachar Bahan Meri
Sehme Huye Rehti Thi
Masoom Sakina Yeh
Har Morh Pay Kehti Thi
Kya Dafan Huye Hon Gay
Karbal Mein Meray Baba

Main Chal Bhi Nahi Sakta
Qaidi Hun Main Amman
Main Chal Bhi Nahi Sakta

Abbas Ko Mehshar Tak
Yeh Dard Rulaye Ga
Zainab Ky Khulay Sar Ko
Woh Daikh Na Paye Ga
Ghairat Ky Khuda Ka Sar
Naizay Pay Nahi Rukta

Main Chal Bhi Nahi Sakta
Qaidi Hun Main Amman
Main Chal Bhi Nahi Sakta

Akbar Ka Haseen Chehra
Jo Daikhtay Rehtay Hain
Sab Koofi O Shami Bhi
Ro Ro Kay Yeh Kehtay Hain
Is Husn Ky Paikar Ki
Ab Tak Hai Maan Zinda

Main Chal Bhi Nahi Sakta
Qaidi Hun Main Amman
Main Chal Bhi Nahi Sakta

Maan Behn Khulay Sar Hain
Raahon Mein Tamashai
Aulad E Muhammad Ko
Taqdeer Kahan Laai
Paband E Silaasil Hun
Kaanton Say Bhara Rasta

Main Chal Bhi Nahi Sakta
Qaidi Hun Main Amman
Main Chal Bhi Nahi Sakta

Tera Hi Qalam Maola
Teri Hi Zabaan Maula
Farhan Aur Shaukat Ki
Aoqaat Kahan Maula
Tauheed Bhi Karti Hai
Har Waqt Tera Giriya

Main Chal Bhi Nahi Sakta
Qaidi Hun Main Amman
Main Chal Bhi Nahi Sakta

Ankhon Say Lahoo Meri
Ek Pal Bhi Nahi Rukta
Main Chal Bhi Nahi Sakta
Qaidi Hun Main Amman

Main Chal Bhi Nahi Sakta

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply