Khairilamal

Main Hussain Hun Lyrics Ali Shanawar Noha 2013

Reciter: Ali Shanawar
Recitation Type: Noha
Year: 2013

Urdu Noha Main Hussain Hun Lyrics in English and Urdu recited by Ali Shanawar in 2013. Find out more noha lyrics by Ali Shanawar similar to lyrics of Main Hussain Hun on Khairilamal.

Main Hussain Hun Lyrics in English

Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun
Kaato Na Mera Khushk Gala Main Hussain Hun

Sookhi Hui Hai Shimr Mery Halq Ki Ragen
Aahista Tu Churi Ko Chala Main Hussain Hun

Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun

Amman Kisi Ny Pani Ki Ek Boond Bhi Na Di
Main Bar Bar Kehta Raha Main Hussain Hun

Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun

Kat’ta Hua Gala Mera Dekha Na Jaye Ga
Nana Main Hun Nawasa Tera Main Hussain Hun

Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun

Bay Bazo’on Ki Lash Tarhap Kar Ulat Gai
Aai Furaat Par Jo Sada Main Hussain Hun

Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun

Zanoo Py Rakh Ky Sar Ko Kaha Ek Zaeef Ny
Akbar Kahan Hai Dard Bata Main Hussain Hun

Goonji Bawaqt E Asar Sada Main Hussain Hun

Ay Shaamion Kafan Na Diya Mujh Ko Gham Nahi
Dy Do Meri Behan Ko Rida Main Hussain Hun

Goonji Ba Waqte Asr Sada Main Hussein Hun

Darbar Mein Laeen Ky Kohram Mach Gya
Mukhtar Sy Jo Sar Ny Kaha Main Hussain Hun

Gunji Bawaqte Asar Sadaa Main Hussain Hun

Mehsoos Ab Bhi Hota Hai Yeh Zayereen Ko
Rozy Sy Aa Rahi Hai Sada Main Hussain Hun

Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun

Aisa Laga Raza Ky Shanawar Sy Fatima
Kehti Hain Bar Bar Suna Main Hussain Hun

Goonji Ba Waqt E Asr Sada Main Hussain Hun

Support us by sharing our content as much as you can.

Did you find what you were looking for? If not, try searching.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *