Reciter: Irfan Haider

haye

Betiyon Walo Suno Ek Shahenshah Ki Beti Ka Safar
Har Tamanchay Py Jo Kehti Thi Yehi Ro Ro Kar

Baba Baba Baba Baba

Jaan Baba Ki Woh Shehzadi Ghazi Ki Bhateeji
Haye Pardais Mein Bichri Baba Say Woh Bachi

Karbala Say Jo Chali Sham Talak Roti Hui
Wawaila
Hath Gaalon Py Rakhay Jab Bhi Jahan Say Guzri
Jis Ny Chaha Usay Mara Woh Yehi Kehti Rahi
Mai Sakina Hoon Mujhy Na Maro
Main Choti Zahra Hun Mujhy Na Maro

Haye Sakina Haye Sakina Haye Sakina

Baad Baba Kay Jab Shaam E Ghareeban Aai
Khaimon Mein Qayamat Lai
Tum Nay Cheeni Meri Baalian
Khoon Hai Kanon Sy Ab Bhi Rawaan
Aur Kurta Bhi Jala Mera

Cheen Li Sar Say Rida Qaidi Banaya Tum Nay
Wawaila
Phir Gala Bandh Ky Panjon Py Chalaya Tum Nay
Kabhi Chaltay Huye Naaqay Say Giraya Tum Nay
Main Ab Yateema Hun Mujhay Na Maro
Main Choti Zahra Hun Mujhay Na Maro

Main Sakeena Hun Mujhay Na Maaro
Main Choti Zahra Hun Mujhay Na Maaro

Haye Sakeena Haye Sakina Haye Sakina

Meray Ammun Ko Yeh Manzar Na Dikhao Zalimo
Gir Jaye Ga Sar Naizay Say
Daikho Zakhmi Hai Chehra Mera
Raah Mein Itna Mara Gaya
Kuch To Ehsas Karo Mera

Sar E Abbas Ky Yun Agay Na Lao Mujh Ko
Khainch Kar Baal Tamanchay Na Lagao Mujh Ko
Kon Hai Kis Say Kahun Aao Bachao Mujh Ko
Main Zahra Hun Mujhay Na Maro
Main Choti Zahra Hun Mujhay Na Maro

Main Sakina Hun Mujhay Na Maro
Main Choti Zahra Hun Mujhay Na Maro

Haye Sakina Haye Sakina Haye Sakina

Kam Sini Mein Bhi Nazar Ati Hun Daadi Jaisi
Gham Itnay Sahay Mainy
Dekho Girti Sambhalti Hun Main
Ab Saharay Say Chalti Hun Main
Kitna Mushkil Hai Safar Mera

Char Barson Mein Hi Ghurbat Ka Ajab Alam Hai
Meray Baalon Mein Safaidi Hai Kamar Mein Kham Hai
Saans Leti Hun To Lagta Hai Labon Par Dam Hai
Main Ab Zaeefa Hun Mujhay Na Maro
Main Choti Zahra Hun Mujhay Na Maro

Main Sakina Hun Mujhay Na Maro
Main Choti Zahra Hun Mujhay Na Maro

Haye Sakina Haye Sakina Haye Sakina

Qaid Khanay Mein Jab Aai To Yeh Manzar Daikha
Har Samt Andhera Tha
haye
Phir Sakina Nay Ro Kar Kaha
Dam Mera Ghutnay Laga
Mujh Ko Lay Jao Meray Baba

Phir Kaha Shimr Yeh Zindaan Jisay Kehtay Hain
Kya Meri Umr Ky Bachay Bhi Yahan Rehtay Hain
Yad Baba Ki Jab Aaye To Sitam Sehtay Hain
Main Aik Dukhiya Hun Mujhay Na Maro
Main Choti Zahra Hun Mujhay Na Maro

Haye Sakina Haye Sakina Haye Sakina

Aik Din Aisa Bhi Aya Dar E Zindaan Khula
Samnay Beti Kay Jab Baap Ka Sar Laya Gaya
Zakhmi Chehray Pay Sakina Ky Giray Jab Aansoo
Shabbir Nay Aankhen Kholiin

haye
Munh Py Beti Nay Jab Munh Rakha
Baap Ky Sar Sy Aai Sada
Tujh Py Qurban Tera Baba

Kaisi Zeeshan Aur Irfan E Aza Ghurbat Thi
Beti Khamosh Hui Sun Ky Sada Baba Ki
Lenay Aaya Hun Tumhen Ab Na Kaho Gi Bibi
Main Sakina Hun Mujhay Na Maro
Main Choti Zahra Hun Mujhay Na Maro

Main Sakina Hun Mujhay Na Maro
Main Choti Zahra Hun Mujhay Na Maro

Haye Sakina Haye Sakina Haye Sakina

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply