Reciter: Ahmed Raza Nasiri
Matamdaro Ay Azadaro Salamat Raho
Yeh Matami Ke Hath Hain
Yeh Matami Ke Hath
Yeh Matami Ke Hath
Yeh Matami Ke Hath Hain Yeh Matami Ke Hath
Jo Thi Dua Batool Ki Yeh Hain Usi Ke Hath
Hain Zindagi Ke Hath Yehi Bandagi Ke Hath
Mukhtar Is Tarah Say Nahi Har Kisi Ke Hath
Chahen To Yeh Qaza Ki Bhi Gardan Daboch Len
Jab Jee Karay Yazeed Ke Chehray Ko Noch Len
Yeh Matami Ke Hath Hain
Yeh Matami Ke Hath
Yeh Matami Ke Hath
Jannat Tarashnay Ka Hunar Jantay Hain Yeh
Waliyon Ka Kam Hai Yeh Magar Jantay Hain Yeh
Hota Hai Zair Kaisay Zabar Jantay Hain Yeh
Khulta Hai Kaisay Ghaib Ka Dar Jantay Hain Yeh
Atay Hain Aik Pal Mein Zamanon Mein Ghoom Kar
Abbas Kay Alam Kay Pharairay Ko Choom Kar
Yeh Matami Ke Hath Hain
Yeh Matami Ke Hath
Yeh Matami Ke Hath
Takbeer Mein Uthay To Falak Choo Ky Aa Gaye
Jhuk Kar Rukooh Mein Apna Muqaddar Bana Gaye
Sajday Mein Jab Gaye To Yeh Masjood Paa Gaye
Phir Us Ke Baad Saray Zamanay Pay Chaa Gaye
Bad E Namaz Barh Gaye Taqdeer Ki Taraf
Ungli Utha Kay Roza E Shabbir Ki Taraf
Yeh Matami Ke Hath Hain
Yeh Matami Ke Hath
Yeh Matami Ke Hath
Samjho Na Aam In Ko Bahut Khas Hain Yeh Hath
Hathon Ki Kayenaat Ki Qirtaas Hain Yeh Hath
Quran E Gham Ki Surah E Ikhlas Hain Yeh Hath
Karbobala Najaf Kay Bahut Pas Hain Yeh Hath
Jab Wastay Madad Kay Ali Ko Pukar Len
Yeh Hath Aasman Say Taray Utar Len
Yeh Matami Ke Hath Hain
Yeh Matami Ke Hath
Yeh Matami Ke Hath
Yeh Anbiya Ke Hath Hain Raaz E Samad Yeh Hain
Hain Auliya Ke Hath Khuda Ke Madad Yeh Hain
Labbaik Ya Hussain Ki Aala Sanad Yeh Hain
Batil K Liye Aaj Bhi Hurr Ban Ke Radd Yeh Hain
Haq Hai Yehi Keh Haq Ke Yehi Tarjuman Hain
Yeh Matam E Hussain Ki Jari Azaan Hain
Yeh Matami Ke Hath Hain
Yeh Matami Ke Hath
Yeh Matami Ke Hath
Hain Abdiyat Ke Hath Ibadat Mein Sar Garam
Mazloom Kay Liye Hain Himayat Mein Sar Garam
Hain Deen Ke Difah Mein Shariyat Mein Sar Garam
Sadiyon Say Hath Hain Yeh Murawwat Mein Sar Garam
Keh Den Agar Imam E Zaman Rukh Ko Morh Den
Yeh Dushman E Batool Ke Hathon Ko Torh Den
Yeh Matami Ke Hath Hain
Yeh Matami Ke Hath
Yeh Matami Ke Hath
Yasir Woh Roz Aye Ga Shah E Zaman Ke Sath
Hon Gay Zaroor Waris E Tishna Dahan Ke Sath
Karbobala Ke Sham Ke Ranj O Mahan Ke Sath
Hon Gay Hamaray Hath Bhi Har Seena Zan Ke Sath
Khilqat Ka Haq Karen Gay Ada Gham Karen Gay Yeh
Kaabay Mein Bhi Hussain Ka Matam Karen Gay Yeh
Yeh Matami Ke Hath Hain
Yeh Matami Ke Hath
Yeh Matami Ke Hath
Urdu Lyrics
ماتم دارو اے عزادارو سلامت رہو
یہ ماتمی کے ہاتھ ہیں
یہ ماتمی کے ہاتھ
یہ ماتمی کے ہاتھ
یہ ماتمی کے ہاتھا ہیں یہ ماتمی کے ہاتھ
جو تھی دعا بتول کی یہ ہیں اسی کے ہاتھ
ہیں زندگی کے ہاتھ یہی بندگی کے ہاتھ
مختار اس طرح سے نہیں ہر کسی کے ہاتھ
چاہیں تو یہ قضا کی بھی کردن دبوچ لیں
جب جی کرے یزید کے چہرے کو نوچ لیں
یہ ماتمی کے ہاتھ ہیں
یہ ماتمی کے ہاتھ
یہ ماتمی کے ہاتھ
جنت تراشنے کا ہنر جانتے ہیں یہ
ولیوں کا کام ہے یہ مگر جانتے ہیں یہ
ہوتا ہے زیر کیسے زبر جانتے ہیں یہ
کھلتا ہے کیسے غیب کا در جانتے ہیں یہ
آتے ہیں ایک پل میں زمانوں میں گھوم کر
عباس کے علم کے پھریرے کو چوم کر
یہ ماتمی کے ہاتھ ہیں
یہ ماتمی کے ہاتھ
یہ ماتمی کے ہاتھ
تکبیر میں اٹھے تو فلک چھو کے آ گئے
جھک کر رکوع میں اپنا مقدر بنا گئے
سجدے میں جب گئے تو یہ مسجود پا گئے
پھر اس کے بعد سارے زمانے پے چھا گئے
بعد نماز بڑھ گئے تقدیر کی طرف
انگلی اٹھا کے روضہ شبیر کی طرف
یہ ماتمی کے ہاتھ ہیں
یہ ماتمی کے ہاتھ
یہ ماتمی کے ہاتھ
سمجھو نہ عام ان کو بہت خاص ہیں یہ ہاتھ
ہاتھوں کی کائنات کی قرطاس ہیں یہ ہاتھ
قرآن غم کی سورؤ اخلاص ہیں یہ ہاتھ
کربوبلا نجف کے بہت پاس ہیں یہ ہاتھ
جب واسطے مدد کے علی کو پکار لیں
یہ ہاتھ آسمان سے تارے اتار لیں
یہ ماتمی کے ہاتھ ہیں
یہ ماتمی کے ہاتھ
یہ ماتمی کے ہاتھ
یہ انبیا کے ہاتھ ہیں راز صمد ہیں یہ
ہیں اولیا کے ہاتھ خدا کی مدد ہیں یہ
لبیک یا حسین کی اعلی سند ہیں یہ
باطل کے لئے آج بھی حر بن کے رد ہیں یہ
حق ہے یہی کہ حق کے یہی ترجمان ہیں
یہ ماتم حسین کی جاری اذان ہیں
یہ ماتمی کے ہاتھ ہیں
یہ ماتمی کے ہاتھ
یہ ماتمی کے ہاتھ
ہیں عبدیت کے ہاتھ عبادت میں سر گرم
مظلوم کے لئے ہیں ہمت میں سر گرم
ہیں دین کے دفاع میں شریعت میں سر گرم
صدیوں سے ہاتھ ہیں یہ مروت میں سر گرم
کہہ دیں اگر امام زمن رخ کو موڑ دیں
یہ دشمن بتول کے ہاتھوں کو توڑ دیں
یہ ماتمی کے ہاتھ ہیں
یہ ماتمی کے ہاتھ
یہ ماتمی کے ہاتھ
یاسر وہ راز آئے گا شاہ زمن کے ساتھ
ہوں گے ضرور وارث تشنہ دہن کے ساتھ
کربوبلا کے شام کے رنج و الم کے ساتھ
ہوں گے ہمارے ہاتھ بھی ہر سینہ زن کے ساتھ
خلقت کا حق کریں گے ادا غم کریں گے یہ
کعبے میں بھی حسین کا ماتم کریں گے یہ
یہ ماتمی کے ہاتھ ہیں
یہ ماتمی کے ہاتھ
یہ ماتمی کے ہاتھ