Reciter: Nadeem Sarwar
Mazloom Ka Matam Hai Mazloom Ka Matam
Logon Yeh Tamasha Nahi
Is Rony Py Hansna Nahi
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Kya Milta Hai Matam Mein
Kis Tarha Batayen
Mazloom Ko Roty Hain
Mazloom Jahan Mein
Pathar Nahi Seeny Mein
Dil Hai To Yeh Matam
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Ghar Fatima Zehra Ka
Kis Tarha Sy Ujrha
Jab Ho Gi Qayamat To
Yun Ayen Gi Zehra
Ek Hath Mein Do Bazoo
Ek Hath Mein Parcham
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Jab Pyare Muhammad Sy
Main Pyar Karun Ga
Phir Us Ky Nawasey Ka
Matam Bhi Karun Ga
Jis Ghar Mein Muhammad Hai
Us Ghar Ka Yeh Matam
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Logon Nabi Zadi Ka
Bazaron Mein Aana
Aur Bandhy Ky Rassi Mein
Darbaron Mein Lana
Is Bat Py Roty Hain
Is Dard Ka Matam
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Zanjeeron Mein Jakrha Hai
Shabbir Ka Beta
Maan Behan Khuly Sar Thi
Khoon Rota Tha Maula
Sajjad Sy Poocho To
Kiun Hai Yeh Kamar Kham
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Khat Fatima Sughra Ka
Kis Waqt Mila Hai
Jab Bhai Sinan Khaye
Raiti Py Parha Hai
Khat Kon Parhy Tera
Tanhai Ka Aalam
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Rehan Ka Sarwar Ka
Bakhshish Ka Waseela
Yeh Noha Yeh Matam Hai
Yeh Farsh E Aza Ka
Aur Sar Py Khula Apny
Abbas Ka Parcham
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam
Logon Yeh Tamasha Nahi
Is Rony Py Hansna Nahi
Mazloom Ka Matam Hai
Mazloom Ka Matam