Reciter: Farhan Ali Waris

Ya Hussain

Qarya Qarya Gaya Koocha Koocha Gaya
Har Jaga Zikr E Aal E Muhammad Kiya

Mil Gaya Jis Jaga Mujh Ko Farsh E Aza
Apni Pehchan Karwai Hai Is Tarah

Naam Hai Mera Azadar E Hussain
Kaam Mera Matam E Hussain Hai

Kya Fikr Ho Duniya Ki Mujhay Kya Ho Bhala Gham
Hai Saya Figan Sar Pay Alamdar Ka Parcham

Mera Naam Hussaini Hai Mera Kaam Hai Matam

Molai Mujhay Kehta Hai Yeh Sara Zamana
Toqeer Mujhay Deta Hai Zehra Ka Gharana
Kehta Hai Mujhay Zakir E Shabbir Do Alam
Hai Saya Figan Sar Pay Alamdar Ka Parcham

Mera Naam Hussaini Hai Mera Kaam Hai Matam

Pehchan Meri Saray Zamanay Pay Ayan Hai
Seenay Py Meray Matam E Sarwar Ki Nishan Hai
Noha Hai Mery Honton Pay Aur Aankh Meri Namm
Hai Saya Figan Sar Pay Alamdar Ka Parcham

Mera Naam Hussaini Hai Mera Kaam Hai Matam

Gar Chahun To Khud Apni Hi Taqdeer Badal Dun
Pairon Ky Talay Saray Yazeedon Ko Kuchal Dun
Matam Say Mujhay Rok Lay Kis Mein Hai Bhala Dam
Hai Saya Figan Sar Pay Alamdar Ka Parcham

Mera Naam Hussaini Hai Mera Kaam Hai Matam

Har Qatra Mery Khoon Ka Deta Hai Gawahi
Hoon Lashkar E Shabbir Ka Bay Taigh Sipahi
Hoon Barsar E Paikar Yazeedon Say Hamadam
Hai Saya Figan Sar Pay Alamdar Ka Parcham

Mera Naam Hussaini Hai Mera Kaam Hai Matam

Emaan Bhi Matam Hai Yeh Matam Hi Aqeeda
Jeenay Ka Hunar Majlis E Shabbir Say Seekha
Yeh Baat Mery Honton Py Rehti Hai Hamadam
Hai Saya Figan Sar Pay Alamdar Ka Parcham

Mera Naam Hussaini Hai Mera Kaam Hai Matam

Majlis Hi Meri Khuld Hai Majlis Hi Mera Ghar
Maan Baap Bhi Aulad Bhi Qurban Isi Par
Ailaan Yehi Tum Bhi Karo Aur Yehi Gham
Hai Saya Figan Sar Pay Alamdar Ka Parcham

Mera Naam Hussaini Hai Mera Kaam Hai Matam

Yeh Nasl E Yazeedi Jisay Kehti Hai Tamasha
Darasl Yeh Matam Hai Usi Munh Py Tamancha
Fatwon Ki Fiza Rok Na Paye Gi Yeh Matam
Hai Saya Figan Sar Pay Alamdar Ka Parcham

Mera Naam Hussaini Hai Mera Kaam Hai Matam

Woh Dasht E Bala Sham E Ghareeban Ka Andhaira
Kehti Thi Yeh Sayedanion Say Sani E Zehra
Ay Bibiyon Sad Shukar Keh Lachar Nahi Hum
Hai Saya Figan Sar Pay Alamdar Ka Parcham

Mera Naam Hussaini Hai Mera Kaam Hai Matam

Karbal Say Sooye Sham Chali Aal E Payambar
Zainab Say Yehi Kehnay Laga Lasha E Sarwar
Yeh Kehti Chalo Ay Meri Masooma E Alam
Hai Saya Figan Sar Pay Alamdar Ka Parcham

Mera Naam Hussaini Hai Mera Kaam Hai Matam

Shehzadi E Konain Ki Mujh Par Yeh Ataa Hai
Hathon Ki Lakeeron Mein Meri Yeh Bhi Likha Hai
Ta Hashar Qalam Chalta Rahay Ga Mera Payham
Hai Saya Figan Sar Pay Alamdar Ka Parcham

Mera Naam Hussaini Hai Mera Kaam Hai Matam

Allah Ka Mazhar Yeh Karam Sab Say Barha Hai
Us Nay Hamen Matam K Liye Paida Kiya Hai
Farhan Yehi Keh Ky Nigaahon Ko Karo Kham
Hai Saya Figan Sar Pay Alamdar Ka Parcham

Mera Naam Hussaini Hai Mera Kaam Hai Matam

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply