Reciter: Irfan Haider

Hussain

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Azadaran E Imam Hussain Azadaran E Imam Hussain

Suno Hussainiyo Suno Main Kitna Khush Naseeb Hun
Bicha Diya Hai Ghar Mein Mainy Farsh E Majlis E Aza
Karam Ki Hai Yeh Inteha Mehak Raha Hai Ghar Mera
Bata Raha Hai Dill Mera Yahiin Hai Waris E Aza
Utar Chuki Sawarian Samaa Chuki Hain Bibiyaan
Hai Maizbaan Abid E Hazeen Main Khak E Paa E Ahlebait Hun

Chalay Aao Ay Azadaro
Chalay Aao Ay Pursadaro
Aao Chalay Aao Azadaro
Madar E Hussain Aa Chuki Hain

Mere Ghar Majlis E Hussain Horahi Ha

Tabarrukat E Ishq Say Saji Hui Hai Sheh Nasheen
Charagh Jhoola Mashk Taziye Kahin Alam Kahin
Wafaon Ka Zahoor Hai Yeh Karbala Ka Noor Hai
Hai Roshni Hi Roshni Andhera Door Door Hai

Aao Chalay Aao Azadaro
Madar E Hussain Aa Chuki Hain

Mere Ghar Majlis E Hussain Horahi Ha

Nizam Kayenaat Ka Hai Jis Ky Ikhtiar Mein
Woh Bibi Farsh E Gham Py Hai Tumharay Intezaar Mein
Qasam Hussain Ki Qasam Karen Gi Fatima Karam
Saf E Aza Py Beth Ky Bahaye Ga Jo Ashk E Gham

Aao Chalay Aao Azadaro
Madar E Hussain Aa Chuki Hain

Mere Ghar Majlis E Hussain Horahi Ha

Alam Ki Samt Daikh Kar
Rawaan Hai Ishq Ka Safar
Main Naaz Kar Raha Hun Aaj
Apny Ghar Ko Dekh Kar
Kahan Main Ab Ghareeb Hun
Habeeb Ka Habeeb Hun
Yeh Lag Raha Aaj Main
Hussain Sy Qareeb Hun

Aao Chalay Aao Azadaro
Madar E Hussain Aa Chuki Hain

Mere Ghar Majlis E Hussain Horahi Ha

Khuda Ky Intekhaab Ka
Ajeeb Intezaam Hai
Jo Sar Kata Ky Jang Jeet Lay
Usay Salaam Hai
Suno Keh Kya Hussain Hai
Baland Ya Hussain Hai
Yeh Majlisen Batayen Gi
Yazeed Tha Hussain Hai

Hussain Zindabad

Ya Husssain Ya Hussain Ya Aba Abd Allah

Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Hamesha Farsh E Aza Par Yehi Dua Mangi
Ghame Hussain Nai Nasl Ky Sapurd Karun
Dua Qubool Hui

Meri Bayaz Meri Noha Khuwani Ka Waris
Yeh Mera Naad E Ali Aza Ky Farsh Py Aksar Azan Deta Hai

Ana Majnoon Al Hussain

Yeh Farsh E Gham Sunnat E Sajjad Hai
Han Usi Majlis Ki Yaad Hai
Woh Pehli Majlis E Aza
Jo Pehly Sham Mein Hui Bapa
Wahan Bhi Pehly Hadees E Kisa Hui Ho Gi
Har Aik Bibi Rida Apni Choomti Ho Gi
Jab Aa Ky Fiza Ny Ki Ho Gi Marsiya Khuwani
Kabhi Hussain Kaha Hoga Aur Kabhi Pani

Kaha Tha Zehra Nay Jatay Huye Suno Fizza
Mera Hussain Meray Baad Na Rahay Pyasa
Hamaray Samnay Yeh Hogaya Ghazab Rann Mein
Wohi Hussain Hua Qatal Tashna Lab Rann Mein

Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain

Gham E Hussain Ki Woh Pehli Zakira Zainab
Tarhap Ky Boli Sar E Mimbar E Aza Zainab
Bawaqt E Asar Yeh Sattar Qadam Say Dekha Tha
Ghareeb Bhai Ky Seenay Py Shimr Betha Tha

Ary Guloo E Khushk Py Gin Gin Ky War Karta Tha
Tarhap Ky Sayed E Sajjad Ny Kiya Noha
Main Dafan Karnay Jo Baba Ko Karbala Pahuncha
Na Janay Baba Ko Maqtal Mein Kitna Mara Tha
Badan Yahan Sy Uthaun Wahan Sy Girta Tha

Ab Aur Haal Main Kaisay Karun Bayan Haye
Hazaron Zakhm Thay Tooti Thiin Paslian Haye

Baad Az Salaam Irfan E Aza Aur Zeeshan Ajab Manzar Tha
Sar E Hussain Say Lipti Thi Bibiyaan Aisay
Ghareeb E Zehra Ki Mayyat Ho Samnay Jaisay

Alwida Ya Hussain
Alwida Ya Hussain
Alwida Ya Hussain
Alwida Ya Hussain

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply