Reciter: Nadeem Sarwar
Mere Natawan Abid Mere Neem Jaan Abid
Tum Nay Har Tabassum Mein Lakh Gham Chupaye Hain
Dard Ky Bayabaan Mein Gull Kaday Sajaye Hain
Bey Kasi Ky Hathon Nay Zulm Phir Yeh Dhaye Hain
Dey Diya Hai Hans Hans Kar Sakht Imtehan Abid
Mere Natawan Abid Mere Neem Jaan Abid
Haye Kis Tarah Daikha Lut’tay Jaltay Khaimon Ko
Kok Baar Maaon Ko Gham Naseeb Phuphiyon Ko
Shimr Ki Jafaon Ko Sehmay Sehmay Bachon Ko
Aik Tum Thay Aur Lakhon Gham Ki Bijliyan Abid
Mere Natawan Abid Mere Neem Jaan Abid
Bad E Ashr E Ashura Hashr Ek Bapa Daikha
Haye Nok E Naiza Pay Sar Hussain Ka Daikha
Tum Nay Lut’tay Ghar Daikha Tum Nay Gham Py Gham Daikha
Gham Zada Fizayen Thay Matami Samaan Abid
Mere Natawan Abid Mere Neem Jaan Abid
Marhalay Aseeron Kay Tum Nay Ankhon Say Daikhay
Gardanen Bandhi Baarah Sirf Aik Rassi Say
Tum Nay Bairhiyan Pehniin Taoq Aahni Pehnay
Ban Gaye Aseeron Kay Meer E Karwan Abid
Mere Natawan Abid Mere Neem Jaan Abid
Subh O Sham Durron Ki Barishen Huiin Tum Par
Sar Charhay Thay Naizon Pay Soorat E Maye Anwar
Bey Kajaaawa Oonton Pay Bibiyan Thiin Nangay Sar
Tum Nay Sarebaani Ki Ban Key Sarebaan Abid
Mere Natawan Abid Mere Neem Jaan Abid
Ek Nai Museebat Thi Qaid Say Rihaa Ho Kar
Laot Kar Watan Jana Woh Bhi Karbala Ho Kar
Bey Kason Ghareebon Kay Meer E Karwan Ho Kar
— Chirhakti Jati Thiin Zakhmi Pindliyan Abid
Mere Natawan Abid Mere Neem Jaan Abid
Haye Tum Madinay Mein Kis Tarha Gaye Ho Gay
Auraton Azeezon Say Kis Tarha Milay Ho Gay
Kaye Guzar Gai Dill Par Kuch Na Keh Sakay Ho Gay
Zakhm Ban Gaye Hon Gay Bolti Zubaan Abid
Mere Natawan Abid Mere Neem Jaan Abid
Mustafa Kay Rozay Pay Fatima Ki Turbat Par
Dastaan Kahi Ho Gi Thaam Kar Dil E Muztar
Nazr Tum Nay Ki Ho Gi Behtay Ashkon Ki Chadar
Paish Kar Diye Hon Gay Durron Ky Nishan Abid
Mere Natawan Abid Mere Neem Jaan Abid