Reciter: Ahmed Raza Nasiri

Is Khuda Ki Basti Mein
Ashiqon Ki Hasti Ka
Wasf Yeh Ajab Daikha
Wasf Yeh Ajab Daikha

Fard Mard E Maidan Jo
Din Ki Roshni Mein To
Dushmanon Ky Seenay Say
Sans Khainch Leta Hai

Raat Ky Andhairay Mein
Rab Ki Zaat Ky Aagay
Khaima E Imamat Mein
Mang Kar Shab E Mohlat
Siskiyon Say Aahon Say
Toot’ta Bikharta Hai

Qalb E Raiza Raiza Say
Yun Sadayen Daita Hai

Ya Rabbal Hussain
Behaq Il Hussain
Behaq Il Hussain
Behaq Il Hussain

Meharban Meray Mujh Ko
Bargah Mein Apni
Kar Qubool Pakeeza
Arzoo Hai Is Dill Ki

Wasl Woh Milay Moosa
Jis Ki Taab Na Laye
Deed Ki Tajalli Say
Kash Ab Badan Mera

Choor Choor Ho Jaye
Jal Ky Toor Ho Jaye

Jal Ky Toor Ho Jaye

Daikh Ay Meray Mehboob
Rehguzar Say Maqtal Ki
Ishq Ky Qabeelay Ka
Karwan Guzra Hai

Qafilay Say Yeh Ashiq
Ho Gaya Juda Kiun Kar
Teray Astanay Pay
Yun Parha Rahay Kiun Kar
Al Ajal Pukara Phir
Zakhm Zakhm Seenay Par
Hath Maar Kar Koi
Ro Diya Musallay Pay

Yabnaz Zahra Adrikni
Yabnaz Zahra Adrikni
Yabnaz Zahra Adrikni
Yabnaz Zahra Adrikni

Karbala Kay Rastay Par
Dorhta Musafir Yeh
Bar Bar Girta Hai
Aap Ky Saharay Say
Phir Magar Sambhalta Hai
Muntazir Kahin Ab Yeh
Raah Nah Bhatak Jaye
Jam E Ishq Peenay Ki
Mujh Ko Mar Ky Jeenay Ki
Dijiye Dua Maula

Meray Dard Kay Mehram
Razdan Meray Dill Kay
Arzoo Hai Bas Ab Keh
Ishq Ka Parinda Yeh
Zindagi Ky Pinjaray Say
Par Laga Keh Urh Jaye

Maula Ya Ya Maula
Maula Ya Ya Maula

Ya Rabbal Hussain
Behaq Il Hussain
Behaq Il Hussain
Behaq Il Hussain

Ya Rabbal Hussain
Behaq Il Hussain
Behaq Il Hussain
Behaq Il Hussain

Mesum E Zamana Phir
Ishq Ki Saza Paye
Aasman Ya Mehdi
Ki Sada Say Tharrhaye

Aur Meray Qadmon Say
Dar Khainch Li Jaye
Aap Ki Mohabbat Mein
Zano E Mubarak Par
Is Tarah Ki Neend Aye
Sab Siyahi Seenay Ki
Roshni Mein Dhal Jaye
Tan Badan Ki Khushboo Say
Is Ghulam Ko Duniya
Jaon Keh Ky Bulwaye

Aur Zahoor Ki Khatir
Bad Az Shahadat Main
Phir Utha Liya Jaun
Aap Ki Ita’at Mein
Dushman E Elahi Say
Jang Akhri Larhta
Phir Shaheed Ho Jaun
Phir Shaheed Ho Jaun

Leave a Reply