Naam E Abbas Waseela Hai Lyrics Farah Naqvi Mola Abbas Munajat

Naam E Abbas Waseela Hai Lyrics written in urdu and english text and recited by manqabat khuwan Farah Naqvi about Mola Abbas Munajat. View and download Farah Naqvi munajat lyrics similar to lyrics of Naam E Abbas Waseela Hai on Khairilamal.

Naam E Abbas Waseela Hai Lyrics in english text

Abbas Abbas Abbas

Naam E Abbas Waseela Hai Har Dua Ky Liye
Ism E Aazam Hai Yeh Momin Ki Iltija K Liye

Naam E Abbas Waseela Hai Har Dua K Liye

Waqt Ka Haider E Karrar Ali Ibne Ali
Sani E Jafar E Tayyar Hai Ghairat Ka Wali
Khud Chuna Khaliq E Akbar Ny Yeh Wafa K Liye

Naam E Abbas Waseela Hai Har Dua K Liye

Koi Many Ya Na Manay Hai Yehi Maan Mera
Naam E Abbas To Bakhshish Ka Samaan Mera
Chashma E Faiz Hai Yeh Dar Har Ek Ataa K Liye

Naam E Abbas Waseela Hai Har Dua K Liye

Deed Karti Hon Alam Ko To Qalam Rukta Hai
Yad Aa Jatay Hain Ghazi Mujhy Yun Lagta Hai
Ab Bhi Rota Hai Yeh Zainab Teri Rida K Liye

Naam E Abbas Waseela Hai Har Dua K Liye

Khoon E Asad Ullah Ka Gohar Hai Yeh Abbas E Ali
Hai Dua Fatima Zahra Ki Yeh Abbas E Jari
Khas Tohfa Hai Khuda Ka Yeh Murtaza K Liye

Naam E Abbas Waseela Hai Har Dua K Liye

 

Hum Ko Rozay Py Bula Lo Mery Aaqa Abbas
Choom Len Ankhen Zarih Ko Mery Aaqa Abbas
Behr E Masoom Sakina Ki Iltija K Liye

Naam E Abbas Waseela Hai Har Dua K Liye

Leave a Reply

Your email address will not be published.