Reciter: Farhan Ali Waris

Fatima Ka Laal Yeh Bola Faoj E Sham Say
Mujhay Pehchano Mujhay Pehchano

Ay Musalmano Ay Musalmano
Nabi Ka Nawasa Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun

Mery Honton Ko Chooma Nabi Nay
Meri Gardan Py Bosa Diya Hai
Mujh Ko Mehman Tum Nay Bulaya
Aur Pani Ko Tarsa Diya Hai
Dushmanon Ko Bhi Main To Pani Pilata Hun

Phir Bhi Main Pyasa Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun
Nabi Ka Nawasa Hun
Nabi Ka Nawaas Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun

Naaz Meray Uthaye Nabi Nay
Meri Khoon Woh Naaqa Banay Hain
Un Ki Zulfon Say Khaila Hai Mainay
Jin Ki Nalain Sab Choomtay Hain
Kali Kamli Mein Main To Bachpan Say Jhoola Hun

Phir Bhi Main Pyasa Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun
Nabi Ka Nawasa Hun
Nabi Ka Nawaas Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun

Ghuroor E Faoj E Sitam Ko Torh Sakta Hun
Rukh E Furat Ko Pal Bhar Mein Morh Sakta Hun
Ali Ka Beta Hun Mojiz Numaiyon Ki Qasam
Main Aftab Say Pani Nichorh Sakta Hun

Tum Nay Majboor Samjha Hai Mujh Ko
Dastaras Mein Meri Do Jahan Hain
Hai Samandar Py Meri Hukoomat
Meri Marzi Say Dariya Rawan Hain
Apni Thokar Say Main To Chashmay Bahata Hun

Phir Bhi Main Pyasa Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun
Nabi Ka Nawasa Hun
Nabi Ka Nawaas Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun

Aasman Walay Ghar Say Hamaray
Rotiyan Ly Ky Jatay Rahay Hain
Aur Madinay Mein Bhaiya Hasan Bhi
Sab Ko Khana Khilatay Rahay Hain
Saqi E Kausar Jo Hai Us Ka Beta Hun

Phir Bhi Main Pyasa Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun
Nabi Ka Nawasa Hun
Nabi Ka Nawaas Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun

Aisa Koi Bhi Nana Nahi Hai
Aisa Koi Nawasa Nahi Hai
Bas Yehi Bat Hai Yad Sab Ko
Meray Nana Ka Saya Nahi Hai
Ay Musalmano Ay Musalmano Main Muhammad Ka Saya Hun

Phir Bhi Main Pyasa Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun
Nabi Ka Nawasa Hun
Nabi Ka Nawaas Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun

Meray Baba Ali Murtaza Nay
Apnay Qaatil Ko Pani Pilaya
Hurr Ky Dastay Nay Roka Tha Mujh Ko
Mainay Sairab Un Ko Karaya
Pyaas Khanjar Ki Apnay Khoon Say Bhujata Hun

Phir Bhi Main Pyasa Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun
Nabi Ka Nawasa Hun
Nabi Ka Nawaas Hun
Phir Bhi Main Pyasa Hun

Haye Farhan O Zill E Raza
Pani Deta Hai Ab Bhi Sada

Maula Maula

Mujh Ko Khaimon Mein Anay Say Roka Gaya
Meray Saahil Py Pehra Lagaya Gaya
Sirf Tu Hi Nahi Main Bhi Pyasa Raha
Teray Honton Ko Main Bhi Tarasta Raha
Hukm Anay Ka Detay Mujhay Ap Jo
Phir Main Zehmat Bhi Deta Na Abbas Ko

Main Khud Khaimon Tak Aa Jata

Maula Maula

Meri Lehren Karen Gi Hashar Talak
Teri Pyas Ka Matam
Haye Hussain Haye Hussain
Han Abbas Ka Matam
Haye Hussain Haye Hussain
Han Ek Peer Ka Matam
Haye Hussain Haye Hussain
Han Zanjeer Ka Matam
Haye Hussain Haye Hussain
Han Khanjar Ka Matam
Haye Hussain Haye Hussain
Han Chadar Ka Matam
Haye Hussain Haye Hussain
Han Bazar Ka Matam
Haye Hussain Haye Hussain
Han Darbar Ka Matam
Haye Hussain Haye Hussain

Haye Hussain Haye Hussain

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply