Reciter: Farhan Ali Waris
Nana Tere Roze Per
Aai Hun Main Kehne Jo Zakhm Lagy Dill Par
Ab Bayn Karun Ro Kar Nana Tere Roze Per
Nana Tere Roze Per
Naizy Py Tha Shabbir Ka Sar
Aur Main Us Waqt Thi Bey Chadar
Sajjad Hazin Humraah Mery
Khoon Rota Tha Pehny Langar
Saya Bhi Na Tha Sar Par
Har Simt Sy Thy Pathar
Ab Bayn Karun Ro Kar
Nana Tery Rozy Par
Mehman Bula Kar Qatal Kiya
Syed Pyasay Ky Lashkar Ko
Pani Ki Bat Karun Kaisy
Rona Ho Jahan Par Chadar Ko
Bas Ashk Bahaye Hain
So Zakhm Uthaye Hain
Ab Bayn Karun Ro Kar
Nana Tery Rozay Par
Ro Ro Ky Guzara Tha Hum Ny
Sadmon Ky Sabab Ashoor Ka Din
Guzry Thy Qayamat Ki Tarha
Ashoor Ki Shab Ashhor Ka Din
Kya Tum Ko Sunaun Main
Kis Tarha Bataun Main
Ab Bayn Karun Ro Kar
Nana Tery Rozay Par
Marny Ki Duayen Thiin Lab Par
Bhai Py Chala Jis Dam Khanjar
Rota Tha Falak Hilti Thi Zameen
Aur Khak Urhati Thi Madar
Sab Peer O Jawan Soye
Is Dasht Mein Sab Khoye
Ab Bayn Karun Ro Kar
Nana Tery Rozay Par
Kis Tarha Bhulaun Gi Nana
Main Sham E Ghareeban Ka Manzar
Pehry Py Nikal Ai Zainab
Ek Toota Hua Naiza Ly Kar
Tha Waqt Qayamat Ka
Har Simt Andhera Tha
Ab Bayn Karun Ro Kar
Nana Tery Rozay Par
Yeh Dekh Ky Zainab Kaanp Uthi
Zalim Jo Rasan Ly Kar Ai
Kal Tak Jo Ujaaly Thy Ghar Ky
Naizon Py Un Hi Ky Sar Aye
Qasim Ho Ya Asghar
Abbas Ho Ya Akbar
Ab Bayn Karun Ro Kar
Nana Tery Rozay Par
Kis Tarha Kiya Tha Tay Nana
Woh Dhoop Aur Woh Garmi Ka Safar
Raahon Mein Tamashai Thy Bahut
Barsaty Rahy Hum Par Pathar
Sakhti Yeh Muqaddar Ki
Roty Thy Sab Hi Qaidi
Ab Bayn Karun Ro Kar
Nana Tery Rozay Par
Us Waqt Madiny Mein Mazhar
Har Simt Buka Thi Aur Matam
Kehti Thi Tarhap Kar Jab Zainab
Lo Sham Sy Lut Kar Aye Hum
Kuch Bhi Na Raha Nana
Hai Khoon Mein Rida Nana
Ab Bayn Karun Ro Kar
Nana Tery Rozay Par