Reciter: Farhan Ali Waris
Inkar Aasman Ko Hai Razi Zameen Nahi
Asghar Teray Lahu Ka Thikana Kahin Nahi
Maidan Mein Garmi Hai Matti Hai Dhool Hai
Jalti Hai Yeh Zameen Tu Nanha Sa Phool Hai
Goya Pisar Ki Lash Sy Sibt E Rasool Hai
Jalti Hai Yeh Zameen Tu Nanha Sa Phool Hai
Asghar Ki Qabr Khod Kar Rotay Rahay Hussain
Kehtay Thay Haye Lakht E Jigar Meray Dil Ky Chain
Tery Liye Hussain Bahut Dil Malool Hai
Jalti Hai Yeh Zameen Tu Nanha Sa Phool Hai
Goya Pisar Ki Lash Say Sibt E Rasool Hai

Khaimay Ki Simt Kis Tarah Jaun Meray Pisar
Kis Tarah Teray Marg Ki Bano Ko Dun Khabar
Us Ko Teray Baghair To Marna Qabool Hai
Jalti Hai Yeh Zameen Tu Nanha Sa Phool Hai
Goya Pisar Ki Lash Say Sibt E Rasool Hai
Jalti Hai Yeh Zameen Tu Nanha Sa Phool Hai
Jhoola Jhulanay Wali Ko Kaisay Bataun Ga
Bano Say Is Khabar Ko Main Kaisay Chupaun Ga
Zainab Bhi Muntazir Hai Jo Bint E Batool Hai
Jalti Hai Yeh Zameen Tu Nanha Sa Phool Hai
Goya Pisar Ki Lash Say Sibt E Rasool Hai
Jalti Hai Yeh Zameen Tu Nanha Sa Phool Hai
Ab Hum Bhi Marnay Jatay Hain Ay Laal Alwida
Lasha Hamara Hona Hai Pamal Alwida
Bach Jaye Deen Nana Ka Mehnat Wusool Hai
Jalti Hai Yeh Zameen Tu Nanha Sa Phool Hai
Goya Pisar Ki Lash Say Sibt E Rasool Hai
Jalti Hai Yeh Zameen Tu Nanha Sa Phool Hai
Ay Faoj E Kibriya Kay Mujahid Tujhay Salam
Kya Shaan Bey Zubaani Say Tu Nay Kiya Kalam
Tareekh E Guftagoo Ka Anokha Asool Hai
Jalti Hai Yeh Zameen Tu Nanha Sa Phool Hai
Goya Pisar Ki Lash Say Sibt E Rasool Hai
Jalti Hai Yeh Zameen Tu Nanha Sa Phool Hai
Rehan Noha Goi Nay Farhan Kar Diya
Mazboot Aur Bhi Mera Emaan Kar Diya
Mit Jaye Zikr E Shah Yeh Ahdaa Ki Bhool Hai