Reciter: Tejani Brothers
Neend Ky Bojh Sy Jab Ho Gaiin Bojhal Ankhen
Khoon Ky Aansoo Sy Hoti Jati Thiin Jal Khal Ankhen
Shiddat E Gham Sy Jali Jati Thiin Pal Pal Ankhen
Lai Bachi Ko Bil Akhir Sar E Maqtal Ankhen
Bap Ki Lash Py Ro Ro Ky Sakina Ny Kaha
Aaj Seeny Py Na Kiun Mujh Ko Sulaya Baba
Mujh Sy Pehly Tumhen Neend Agayi Kaise Baba
Khak Bistar Ki Tarha Bhaa Gayi Kaisy Baba
Mujh Sy Pehly Tumhen Neend Agayi Kaise Baba
Jab Talak Baahon Mein Jhoola Na Jhula Lo Mujh Ko
Tum To Soty Na Thy Jab Tak Na Sula Lo Mujh Ko
Raat Sy Pehly Hi Neend Agayi Kaise Baba
Mujh Sy Pehly Tumhen Neend Agayi Kaise Baba
Kaan Zakhmi Hain Lahoo Behta Hai Ankhen Kholo
Kya Karun Jaun Kahan Kuch To Zabaan Sy Bolo
Mery Gulshan Py Khizan Chaa Gayi Kaise Baba
Mujh Sy Pehly Tumhen Neend Agayi Kaise Baba
Sirf Khaimy Hi Nahi Jal Gaya Daman Bhi Mera
Dhundti Phirti Hun Sehra Mein Tumhara Seena
Tum Ko Karbal Ki Zameen Kha Gayi Kaise Baba
Mujh Sy Pehly Tumhen Neend Agayi Kaise Baba
Thokaren Khati Hui Girti Hui Aai Hun
Rukh Py Baba Main Tamanchon Ky Nishan Laai Hun
Kya Kahun Aap Ko Main Paa Gai Kaisy Baba
Mujh Sy Pehly Tumhen Neend Agayi Kaise Baba
Is Andhery Mein Sada Nahi Dety Agar
Kaisy Pehchan Main Aap Ki Lashy Bey Sar
Meri Khushboo Tumhen Yahan Aa Gai Kaisy Baba
Mujh Sy Pehly Tumhen Neend Aa Gayi Kaisy Baba
Pyas Ka Shikwa Karun Kis Sy Koi Pas Nahi
Aas Thi Jis Sy Bahut Baba Woh Abbas Nahi
Alqama Ham Py Sitam Dha Gayi Kaisy Baba
Mujh Sy Pehly Tumhen Neend Agayi Kaise Baba
Is Andhery Mein Kahin Sota Hai Asghar Bhi Mera
Is Andhery Mein Mera Bhai To Darta Ho Ga
Pyas Mein Neend Usy Aa Gai Kaisy Baba
Mujh Sy Pehly Tumhen Neend Agayi Kaise Baba
Thak Ky Soty Ho To Soty Raho Main Jaagun Gi
Main Hawaon Ka Yahan Shor Na Hony Dun Gi
Yeh Faza Tum Ko Pasand Aa Gai Kaisy Baba
Mujh Sy Pehly Tumhen Neend Agayi Kaise Baba
Aik Ek Haraf Mein Tejani Hai Aaho Zaari
Khoon Hai Khana E Rehan Sy Aisy Jaari
Har Taraf Gham Ki Ghata Chaa Gayi Kaisy Baba
Mujh Sy Pehly Tumhen Neend Agayi Kaise Baba