Reciter: Farhan Ali Waris

Haye Ali Asghar

Jab Shimr E Laeen Shohada Ky Sar Kaat Ky Laya
Shohada Ky Saron Ko Pisar E Saad Nay Dekha
Sar Asghar E Masoom Ka Mojood Nahi Tha
Yeh Kehtay Huye Shimr Ko Pas Apnay Bulaya
Hakim Mujhay Bakhshay Ga Nahi Tujh Ko Khabar Hai
Ja Dhund Sar E Asghar E Masoom Kidhar Hai

Tareekh Mein Is Zulm Ka Milta Hai Hawala
Zalim Nay Lahad Khod Ky Asghar Ko Nikala
Sar Kat Chuka Khooli To Naizay Ko Sambhala
Naizay Py Gaya Bano Ki Aghosh Ka Pala

Maot Bhi Noha Karti Thi Ro Kar
Bigrha Hai Bano Tera Muqaddar
Nok E Sina Per Sanna Sa Ek Sar
Ly Ky Chala Hai Haye Sitam Gar

Nok E Sina Per Sanna Sa Ek Sar
Ly Ky Chala Hai Haye Sitam Gar

Jo Sahib E Aulad Hai Sochay To Zara Sa
Kis Darja Sitam Kokh Jali Maan Py Hua Tha
Ghash Khai Hui Maan Nay Junhi Ankhon Ko Khola
Naizay Py Sar E Asghar E Masoom Ko Dekha
Thamay Kalaija Boli Woh Muztar
Sani E Zehra Daikho Yeh Manzar

Nok E Sina Per Sanna Sa Ek Sar
Ly Ky Chala Hai Haye Sitam Gar

Zainab Nay Sooye Lashkar E Ahdaa Jo Nazar Ki
Sar Peet Ky Yeh Kehnay Lagi Dard Ki Maari
Ay Kushta E Shamsheer E Jafa Ay Merey Bhai
Kya Baad Shahadat Bhi Sitam Hota Hai Koi
Tu Hi Bata Ay Sabr Ky Paikar
Kaisay Sambhalay Dill Ko Yeh Madar

Nok E Sina Per Sanna Sa Ek Sar
Ly Ky Chala Hai Haye Sitam Gar

Kya Zulm Meray Bachay Py Hai Daikh Khudaya
Na Jhoolay Mein Paya Na Sukoon Qabar Mein Paya
Maan Roti Hai Yeh Keh Ky Kahan Doodh Barhaya
Pani Ky Ewaz Teer E Sitam Halq Py Khaya
Pyasa Gaya Tha Duniya Say Asghar
Ab Yeh Sitam Hai Khaliq E Akbar

Nok E Sina Per Sanna Sa Ek Sar
Ly Ky Chala Hai Haye Sitam Gar

Phir Kehnay Lagi Madar E Akbar Say Lipat Kar
Atthaara Baras Jee To Gya Tha Tera Dilbar
Khoon Tujh Ko Rulati Hai Magar Furqat E Akbar
Ab Soch Keh Kya Beet Gai Hai Meray Dill Par
Goud Say Jis Ko Lay Gaye Sarwar
Daikh Rahi Hun Aaj Yeh Manzar

Nok E Sina Per Sanna Sa Ek Sar
Ly Ky Chala Hai Haye Sitam Gar

Shabbir Nay Daikha Jo Sinaan Par Sar E Asghar
Ek Bar Nigahon Say Kiya Sajda Zameen Par
Phir Bolay Nigaahon Ko Uthatay Huye Sarwar
Tu Razi To Main Razi Meray Khaliq E Akbar
Wada Nibhaya Ghar Ko Luta Kar
Ab Yeh Sitam Bhi Sehta Hun Dill Par

Nok E Sina Per Sanna Sa Ek Sar
Ly Ky Chala Hai Haye Sitam Gar

Farhan Lahoo Rotay Huye Likhta Hai Mazhar
Doran E Safar Ghazi Say Farmatay Thay Sarwar
Tu Hota To Yeh Zulm Nahi Hota Baradar
Faryad Hai Yeh Bano E Dilgeer Ky Lab Par
Bazu E Shabbir Daikh To Aa Kar
Halq Hai Zakhmi Khak Hai Sar Par

Nok E Sina Per Sanna Sa Ek Sar
Ly Ky Chala Hai Haye Sitam Gar

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply