Reciter: Ali Hamza

Zahoor E Hasan Mujtaba Zahoor E Hasan Mujtaba
Mubarak Mubarak Ho Sab Ko Mubarak Zahoor E Hasan Mujtaba

Samaan Hai Khushi Ka Zameen Aasman Pay
Mili Aaj Deen Ko Hai Phir Zindagani
Hain Salle Alaa Ki Faza Mein Sadayen
Nazool E Hasan Ki Gharhi Hai Suhaani

Samaan Hai Khushi Ka Zameen Aasman Pay

Dar E Fatima Pay Malayek Hain Aaye
Sabhi Sath Jannat Kay Tohfay Hain Laye
Hai Pehla Nawasa Muhammad Ka Aaya
Sabhi Anbiya Nay Qaseeday Sunaye
Fida Is Pay Shams O Qamar Ho Rahay Hain
Muhammad Nay Choomi Hasan Ki Paishani

Samaan Hai Khushi Ka Zameen Aasman Pay

Zahoor E Hasan Mujtaba Zahoor E Hasan Mujtaba
Mubarak Mubarak Ho Sab Ko Mubarak Zahoor E Hasan Mujtaba

Do Aalam Mein Langar Isi Ka Chalay Ga
Sakha Say Ghareebon Ka Daman Bharay Ga
Zamanay Mein Qayem Aman Yeh Karay Ga
Qalam Say Larhai Yeh Deen Ki Larhay Ga
Toheed O Risalat Ka Parcham Utha Kay
Bataye Ga Duniya Ko Yeh Baq Bayani

Samaan Hai Khushi Ka Zameen Aasman Pay

Waseela Khuda Ki Yeh Pehchan Ka Hai
Fakhar Anbiya Kay Yeh Sultan Ka Hai
Yeh Noor E Nazar Kull E Emaan Ka Hai
Khulasa Yeh Surah E Rehman Ka Hai
Fazayel Hasan Kay Main Kya Kya Sunaun
Suno Shan Is Ki Quran Ki Zabani

Samaan Hai Khushi Ka Zameen Aasman Pay

Zahoor E Hasan Mujtaba Zahoor E Hasan Mujtaba
Mubarak Mubarak Ho Sab Ko Mubarak Zahoor E Hasan Mujtaba

Hasan Naam Is Ka Laqab Mujtaba Hai
Yeh Kirdar Mein Doosra Mustafa Hai
Jo Is Ki Raza Hai Khuda Ki Raza Hai
Yeh Mangay Bina Sab Ko Karta Ata Hai
Hai Shahid Zamana Isi Ka Bhikari
Dehr Mein Hai Jood O Sakha Ka Jo Bani

Samaan Hai Khushi Ka Zameen Aasman Pay
Mili Aj Deen Ko Hai Phir Zindagani

Samaan Hai Khushi Ka Zameen Aasman Pay

Urdu Lyrics

ظہور حسن مجتبی ظہور حسن مجبتی
مبارک مبارک ہو سب کو مبارک ظہور حسن مجتبی

سماں ہے خوشی کا زمیں آسماں پے
ملی آج دیں کو ہے پھر زندگانی
ہیں صل علی کی فضا میں صدائیں
نزول حسن کی گھڑی ہے سہانی

سماں ہے خوشی کا زمیں آسماں پے

در فاطمہ پے ملائک ہیں آئے
سبھی ساتھ جنت کے تحفے ہیں لائے
ہے پہلا نواسہ محمد کا آیا
سبھی انبیا نے قصیدے سنائے
فدا اس پے شمس و قمر ہو رہے ہیں
محمد نے چومی حسن کی پیشانی

سماں ہے خوشی کا زمیں آسماں پے

ظہور حسن مجتبی ظہور حسن مجتبی
مبارک مبارک ہو سب کو مبارک ظہور حسن مجتبی

دو عالم میں لنگر اسی کا چلے گا
سخا سے غریبوں کا دامن بھرے گا
زمانے میں قائم امن یہ کرے گا
قلم سے لڑائی یہ دیں کی لڑے گا
توحید و رسالت کا پرچم اٹھے گا
بتائے گا دنیا کو یہ حق بیانی

سماں ہے خوشی کا زمیں آسماں پے

وسیلہ خدا کی یہ پہچان کا ہے
فخر انبیا کے یہ سلطان کا ہے
یہ نور نظر کل ایمان کا ہے
خلاصہ یہ سورہ رحمان کا ہے
فضائل حسن کے میں کیا کیا سناؤں
سنو شان اس کی قرآں کی زبانی

سماں ہے خوشی کا زمیں آسماں پے

ظہور حسن مجتبی ظہور حسن مجتبی
مبارک مبارک ہو سب کو مبارک ظہور حسن مجتبی

حسن نام اس کا لقب مجتبی ہے
یہ کردار میں دوسرا مصطفی ہے
جو اس کی رضا ہے خدا کی رضا ہے
یہ مانگے بنا سب کو کرتا عطا ہے
ہے شاہد زمانہ اسی کا بھکاری
دہر میں ہے جود و سخا کا جو بانی

سماں ہے خوشی کا زمیں آسماں پے

ملی آج دیں کو ہے پھر زندگانی

سماں ہے خوشی کا زمیں آسماں پے

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply