Reciter: Mesum Abbas
Dhal Gaya Din Woh Takti Rahi Raasta
Hath Say Daaman E Sabr Jata Raha
Rukh Kiya Sooye Dariya Yeh Ro Kar Kaha
Haye Ro Kar Kaha
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Nahi Chahiye Nahi Chahiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Bas Ab Aap Dariya Say Aa Jaiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Meri Pyas To Tum Say Barh Kar Nahi
Main Mar Jaun Gi Mera Kar Lo Yaqeen
Mujhay Raas Aai Na Yeh Sar Zameen
Khudara Na Ab Aur Tarhpaiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Chacha Mujh Ko Maloom Hota Agar
Nahi Aayen Gy Aap Bhi Laot Kar
To Phir Mashk Deti Nahi Noha Gar
Meri Mashk Khali Hi Lay Aaiye
Nahi Chahiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Na Janay Woh Kaisi Gharhi Aai Thi
Padar Say Ijazat Jo Dilwai Thi
Main Khud Apni Ghurbat Say Ghabrai Thi
Ata Darguzar Meri Farmaiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Chacha Yeh Sakina Ka Wada Raha
Keh Ab Al Atash Ki Na Dun Gi Sada
Bina Aap Ky Hai Yeh Jeena Sada
Jiyun Kaisay Itna To Batlaiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Sakina Py Jaaan Deny Walay Chacha
Kiya Mujh Ko Kis Ky Hawalay Chacha
Bhula Dun Gi Honton Ky Chaalay Chacha
Mujhy Aa Ky Seenay Say Liptaiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Khabar Aap Ky Qatal Ki Yun Mili
Meray Baba Jaan Ki Kamar Jhuk Gai
Rida Phaink Ky Ro Rahi Hain Phuphi
Yeh Manzar Zara Dekhnay Aaiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Chidi Mashk Meri Koi Gham Nahi
Meri Aas Tooti Koi Gham Nahi
Main Pyasi Rahun Gi Koi Gham Nahi
Dawa Meray Zakhmon Ki Ban Jaiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Yeh Mazhar Yeh Mesum Yeh Ahl E Aza
Yehi Keh Ky Kartay Hain Matam Bapa
Yeh Jumla Sakina Ka Hai Marsiya
Bas Ab Aap Dariya Say Aa Jaiye
Chacha Jaan Pani Nahi Chahiye
Nahi Chahiye Nahi Chahiye