Reciter: Nadeem Sarwar

Parcham E Abbas

Han Yehi Parcham Hussain Faoj Ka Ban Kar Nishan
Jis Gharhi Pahuncha Tha Faoj E Ashqiya Ky Darmian
Har Taraf Sy Aa Rahi Thi Bas Sada E Al Aman
Nara E Abbas Tha Aur Thi Farishton Ki Zubaan

Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka

Is Alam Ky Sath Hai Chota Sa Mashkeeza Bandha
Bazoo E Abbas Par Jaisy Ho Taweez E Wafa
Na Alam Is Sy Juda Hai Na Alam Sy Yeh Juda
Is Alam Py Saya Afgan Hai Dua E Sayeda

Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka

Tha Yehi Parcham Ali Ky Hath Mein Har Jang Mein
Karbala Pahuncha Duaye Sayeda Ky Rang Mein
Han Isi Parcham Ko Garha Tha Ali Ny Sang Mein
Dorhta Hai Khooli Is Ko Dekh Kar Ang Ang Mein

Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka

Han Isi Parcham Sy Aya Karbala Mein Inqilaab
Ly Ky Is Ko Jab Gaya Dariya Py Ibn E Bu Turab
Choom Li Maojon Ny Barh Kar Asp E Ghazi Ki Rakaab
Is Ky Panjy Ki Chamak Sy Roshni Ly Aftaab

Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka

Jab Talak Ooncha Raha Karbal Mein Ghazi Ka Alam
Aa Saky Na Khaima E Sarwar Mein Ahdaa Ky Qadam
Yeh Alam Thanda Hua Rony Lagy Shah E Alam
Ro Ky Kehty Thy Yehi Tha Mery Lashkar Ka Bharam

Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka

Yeh Alam Dharas Tha Zainab Aur Sakina Kay Liye
Dhoop Mein Is Chaaon Tha Yeh Shah E Wala Ky Liye
Is Ka Girna Maot Sy Barh Kar Tha Aaqa Ky Liye
Maot Ka Paigham Yeh Parcham Tha Ahdaa Ky Liye

Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka

Aaj Har Ghar Par Alam Hai Mery Ghazi Ka Saja
Hazrat E Zainab Ki Poori Ho Gai Akhir Dua
Marhaba Abbas Ghazi Marhaba Sad Marhaba
Aasman To Jhuk Gya Tera Alam Ooncha Raha

Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka

Is Alam Ki Shan To Us Roz Dekhy Ja Jahan
Aye Ga Jis Roz Is Parcham Ka Waris Barahwan
Kufar Ki Basti Py Tooten Gi Hazaaron Bijlian
Mominon Ky Sar Py Ho Ga Is Alam Ka Sayebaan

Parcham Abbas Ka Parcham Abbas Ka

Yeh Alam Ab Tak Hussaini Faoj Ki Hai Yadgar
Hashar Tak Qayem Rahy Ga Aitbaar O Ikhtiar
Dekhen Gy Rehan Is Parcham Ki Sab Us Din Bahar
Is Ko Ly Kar Ayen Gy Jab Mehdi E Aali E Waqaar

Us Roz Yeh Manzar Badly Ga
Us Din Yeh Musalman Sambhly Ga
Yeh Matti Sony Ugli Gi
Yeh Charkh Gohar Barsaye Ga
Har Aik Nizam E Zulmat Ka
Bas Zulm Ko Rulwaye Ga

Ghazi Ka Alam Lehrata Hua
Jab Mehdi E Akhir Aye Ga
Meeras Shahadat Hai Jis Ki
Woh Maola Sy Mil Jaye Ga

Us Roz Sy Sari Duniya Mein
Ghazi Ka Alam Lehraye Ga
Sab Thaat Parha Reh Jaye Ga
Jab Any Wala Aye Ga

Parcham Abbas Ka

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply