Reciter: Tejani Brothers
Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar
Qasim nahi hai(n), Akbar nahi hai(n)
Had hai yahi ke, Asghar nahi hai(n)
Ab na bacha hai, koi sahara
Kulsoom ka hai, ye bayn lab par
Haaye shaam ka majma, aada ka hai nargha, abbas chale aawo
Aun-o-Muhammad, ko laayi zainab
Bacho(n) ko qurbaan, kar aayi zainab
Sadmaa-e-kulsoom bas yahi tha,
Qurbaan kardu(n), mei kisko sheh par
Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar
Abbas aaye khaime me dekha,
Sar ko jukaaye bethi thi behna,
Kulsum tumhaare naam par me,
sar apna dunga maqtal me jaakar
Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar
Kulsum kaise bhoole wo manzar
Jalte the khayme, chhinti thi chaadar
Abid ko jhalte khaymo(n) se Zainab
Kaandho(n) pe laayi, abbas bankar
Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar
Shaam-e-gharibaa(n), jab ban me chaayi
Bali Sakina, maqtal me aayi
Kulsoom tanha, ban mei khari thi
Koi nahi tha, munis-o-yawar
Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar
Masum bachi, darbaar ka dar,
Noke sina par hai baap ka sar,
Har ik taraf hai ghayron ka majma
Kisko bulaaye, sarwar ki dukhtar
Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar
Parde ka zamin, Abbas ka sar
Rehta nahi hai, nok-e-sina par
Bazaar mei jab, kulsoom aayi
Manzar na sehpaya wo dilawar
Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar
Kaise chalengi, beti ali ki,
chaaro(n) taraf hai majma sharabi
Zalim ka majma, sarwar ka kunba
Guzrenge kaise, aal-e-payambar
Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar
Darbaar me jab zalim ne pucha
Tumme se zainab hai naam kiska
Darbar ka dar rokar pukara
Ho tum kahaan ay fatahe khaybar
Pathar ki barish, shahzaadiyo(n) par, Kusloom ke sar, par thi na chadar
Bus ye dua hai kulsoom bibi,
Nawha sunaaye jab bhi “tejani”
Har dam rahe hum dono pe qayam,
Ghazi ke parcham, ka saya sar par