Reciter: Nadeem Sarwar
Haye Sadaat Aur Zindaan
Haye Sadaat Haye Zindaan
Qaid Khaney Main Talatum Hai Ky Hind Ati Hai
Dukhtar E Fatima Ghairat Sy Moi Jati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Aasman Door Zameen Sakht Kidhar Jaun Main
Yehi Behtar Hai Ky Duniya Sy Guzar Jaun Main
Bibion Mil Ky Dua Mango Ky Mar Jaun Main
Maot Ati Hi Nahi Jan Khichi Jati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Amad E Hind Ka Ghul Itrat E Shabbir Mein Hai
Shor E Matam Haram E Sahib E Tatheer Mein Hai
Kehti Hai Jaun Kahan Paon To Zanjeer Mein Hai
Paon Uthta Hai To Zanjeer Lipat Jati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Tha Idhar Bibi Sakina Sy Yeh Zainab Ka Bayan
Hind Darbar Sy Jab Sooye Zindaan
Sabr Tum Ko Hai Dikhana Na Uthy Shor O Fughan
Waye Yeh Din Bhi Aseeri Tumhen Dikhlati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Dar E Zindaan Py Hua Itny Mein Amboh E Kamaal
Zan E Hakim Ka Hai Zindaan Mein Nuzool O Ijlal
Qaidion Uth Ky Dua Dy K Karo Istaqbaal
Zaoja E Hakim E Daoran Hai Jo Yeh Ati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Hind Ny Dekh Ky Raandon Ki Taraf Di Yeh Sada
Kis Ka Yousuf Hai Yeh Zindaan Mein Giraftar E Bala
Bibian Kis Ki Hain Rakhtiin Jo Nahi Sar Py Rida
In Ky Chehron Sy To Kuch Aur Jhalak Ati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Dekhti Kya Hai Ky Ek Shair Hai Aahan Mein Nihan
Laghar O Khasta Tan O Faqa Kash O Tishna Dahan
Na To Chalny Ki Sakat Hai Na Koi Rishta E Jaan
Guztakhanon Sy Larazny Ki Sada Ati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Aai Nazdeek Jo Sajjad Ky Hind E Dilgeer
Boli Woh Kon Si Isiyan Ki Yeh Tazeer
Boly Dasween Thi Muharram Ki Jo Pehli Zanjeer
Aj Taqdeer Bhi Qaidi Hamen Kehlati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Hind Ny Pocha Maraz Kya Hai Kaha Bey Padari
Par Jo Dariyaft Kiya Kehny Lagy Dar Badari
Boli Leta Hai Khabar Kon Kahan Bey Khabari
Jo Khabargeer Thy Un Ko To Lehad Bhaati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Baba Sahib Ky Galy Par Jo Na Khanjar Phirta
Un Ky Sar Khulty Na Main Kanton Py Dar Dar Phirta
Aur Madiney Ki Taraf Sab Ko Main Ly Kar Phirta
Yad Hazrat Ky Watan Ki Hamen Tarhpati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Hind Ny Nam Madiney Ka Jo Abid Sy Suna
Khak Par Beth Gai Khali Yeh Tabeer Hua
Boli Kya Zainab O Kulsoom Sy Nisbat Hai Bhala
Aisy Chehron Sy To Khushboo E Wafa Ati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Boli Zainab Ky Na Ly Zainab O Kulsoom Ky Naam
Woh Nabi Zadian Hain Qaid Mein Un Ka Kya Kam
Hind Boli In Hi Baton Mein Hai Sab Un Ka Kalam
Kiun Meri Rooh Tumhen Dekh K Ghabrati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Jo Bhi Soorat Hai Woh Masoom Nazar Ati Hai
Qudrat E Khaliq E Qayyum Nazar Ati Hai
Koi Zainab Koi Kulsoom Nazar Ati Hai
Un Sy Taqdeer Yeh Kis Hall Mein Milwati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Gird Abid Ky Phiri Phir Wo Ba Hall E Tagheer
Boly Woh Kon Yeh Chillai Kaneez E Shabbir
Assalam Ay Rasan O Toq O Salasil Ky Aseer
Noha Karti Hui Qadmon Mein Giri Jati Hai
Qaid Khaney Mein Talatum Hai K Hind Ati Hai
Bas Dabeer Ab Gham E Shabbir Sy Larzaan Hai Jigar
Hind Bhi Mehw E Aza Aj Hui Nangy Sar
Qaid Khaney Mein Hua Seena Zani Sy Mehshar
Yehi Majlis Hai Jo Khud Marsiya Kehlati Hai
Gham E Sadaat Aur Zindaan