Reciter: Farhan Ali Waris

Is Mah Ka Dilon Mein Bahut Ehtram Hai
Har Jaa Ibadaton Ka Barha Ehtmam Hai
Razi Khuda Ko Kar Lo Keh Rootha Hua Hai Jo
Ramzan Hai Yeh Rehmat E Yazdan Samait Lo

Yad E Khuda Mein Din Aur Rat
Rozay Namazen Hamd Aur Naat
Aur Lab Par Quran Hai

Yeh Rooh E Ramzan Hai
Yeh Rooh E Ramzan Hai
Rooh E Ramzan Hai
Yeh Rooh E Ramzan Hai

Har Masjid Mein Hai Ronaq
Hai Lutf E Ibadat Kaisa
Allah Nay Bakhsha Hai Yeh
Rehmat Ka Mahina Aisa
Kya Hai Ameer Aur Kya Hai Ghareeb
Sab Ko Kar Deta Hai Qareeb
Yeh Jo Dastar Khuwan Hai

Yeh Rooh E Ramzan Hai
Yeh Rooh E Ramzan Hai
Rooh E Ramzan Hai
Yeh Rooh E Ramzan Hai

Sehr O Aftar Karo To Ehsas Ghareebon Ka Ho
Han Eid Say Pehlay Tum Ko Ehsas Yateemon Ka Ho
Dill Jo Kisi Ka Na Torhay Tootay Rishton Ko Jorhay
Woh Acha Insan Hai

Yeh Rooh E Ramzan Hai
Yeh Rooh E Ramzan Hai

Rooh E Ramzan Hai
Yeh Rooh E Ramzan Hai

Jab Jism Ka Roza Hai To Phir Rooh Ka Bhi Roza Ho
Jab Jism Hai Pak Hamara To Rooh Bhi Pakeeza Ho
Sunnat E Nabawi Par Chalna Door Gunahon Say Rehna
Momin Ki Pehchan Hai

Yeh Rooh E Ramzan Hai
Yeh Rooh E Ramzan Hai
Rooh E Ramzan Hai
Yeh Rooh E Ramzan Hai

Allah Allah Allah

Hum Ko Aoqat Say Barh Ky Tu Nay Diya
Hum Gunahgaar Thay Par Tu Deta Raha
Rizq O Aulad Shohrat Wafa Bakhsh Di
Junbish E Lab Say Pehlay Dua Bakhsh Di
Aaj Dill Say Nikalti Yeh Awaz Hai
Hum Ko Lagta Hai Tu Hum Say Naraz Hai
Apni Masti Mein Ghaflat Mein Hum So Gaye
Teri Rehmat Kay Darwazay Band Ho Gaye
Kitni Lachar Bey Bas Yeh Duniya Hai Aaj
Teri Rehmat Hai Har Aik Gham Ka Ilaj
Tu Hai Rehman Rehmat Tu Kar Dy Ataa
Jo Bhi Beemar Hain Un Ko Dy Dy Shifa
Wasta Panjatan Ka Hai Tu Maan Ja
Bakhsh Day Mery Maula Tu Sab Ki Khata

Bakhsh Day Meray Maula Tu Sab Ki Khata

Farhan O Mazhar Ki Dua Razi Rahay Hum Sab Say Khuda
Yeh Dill Ka Armaan Hai

Yeh Rooh E Ramzan Hai
Yeh Rooh E Ramzan Hai
Rooh E Ramzan Hai
Yeh Rooh E Ramzan Hai

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply