Reciter: Farhan Ali Waris

Wasiyat Hai Yateema Ki Zindaan Mein Sakina Ki

Kon Zindaan Mein Sunay Yeh Meray Naalay Amman
Kar Diya Mujh Ko Andhairon Ky Hawalay Amman

Aik Muddat Sa Nahi Daikhay Ujalay Amman
Mujh Ko Zindaan Kay Andhairon Say Bachana Amman

Roz Turbat Pay Meri Shamma Jalana Amman

Apnay In Zakhmon Ki Main Tab Na Laa Paun Gi
Mujh Ko Lagta Hai Main Kuch Roz Mein Mar Jaun Gi
Amman Main Laot Ky Na Apnay Watan Jaun Gi
Meri Halat Meri Sughra Ko Batana Amman

Roz Turbat Pay Meri Shamma Jalana Amman

Jab Bhi Main Roi Mujhay Marta Tha Shimr E Laeen
Neend Is Darr Say Mujhay Qaid Mein Ati Hi Nahi
Phir Meri Qabr Py Woh Shimr Na Aa Jaye Kahin
Mujh Ko Tanha Na Yahan Chorh Ky Jana Amman

Roz Turbat Pay Meri Shamma Jalana Amman

Pyas Ki Akhri Manzil Hai Yeh Waqt Karha
Jism Ka Pani Mera Sookh Gaya Hai Sara
Ab To Haddi Say Mera Gosht Juda Honay Laga
Mera Yeh Haal Chacha Jaan Ko Sunana Amman

Roz Turbat Pay Meri Shamma Jalana Amman

Ghusl Jab Denay Lago Mujh Ko To Ho …. Zara
Zakhm Taza Hain Abhi Khoon Bahut Mera Baha
Jism Ky Zakhmon Sy Chipka Hai Yeh Kurta Mera
Jism Say Kurtay Ko Aahista Churhana Amman

Roz Turbat Pay Meri Shamma Jalana Amman

Ho Gaya Mujh Ko Yaqeen Main Na Kabhi Jaun Gi Ghar
Dafn Ho Jaun Gi Is Qaid E Jafa Mein Mar Kar
Ek Wasiyat Hai Meri Poori Karo Gi Madar
Fatiha K Liye Baba Ko Bulana Amman

Roz Turbat Pay Meri Shamma Jalana Amman

Kaisi Pur Dard Wasiyat Thi Bayan Ho Kaisay
Bayn Yeh Mazhar O Farhan Sakina Nay Kiye
Zalimon Say Na Kafan Lena Sakina K Liye
Mujh Ko Kurtay Mein Hi Marqad Mein Sulana Amman

Roz Turbat Pay Meri Shamma Jalana Amman

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply