Reciter: Shadman Raza
Laila Ky Chand Akbar
Karyal Jawan Akbar
Hasrat Sy Jawan Laal Ko
Maan Dekh Rahi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Akbar Chaly Marny Ko Qayamat Si Machi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Hasrat Sy Jawan Laal Ko Maan Dekh Rahi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Maan Rok Ky Yeh Kehti Hai Zara Rehm To Khao
Akbar Nahi Jao
Thamy Huye Daman Ko Sakina Bhi Kharhi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Hasrat Sy Jawan Laal Ko Maan Dekh Rahi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Hai Shaak Judai Jo Bahut Qalb E Hazeen Par
Akbar Sy Lipat Kar
Faryad Kunan Giriya Kunan Binte Ali Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Hasrat Sy Jawan Laal Ko Maan Dekh Rahi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Har Bibi Sy Ro Ro Ky Yehi Kehti Rahi Maan
Sab Reh Gaye Armaan
Sehra Na Bandha Aur Na Mehndi Hi Saji Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Hasrat Sy Jawan Laal Ko Maan Dekh Rahi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Jo Chahny Waly Hain Woh Mojood Hain Sary
Akbar Ko Hain Ghairy
Par Haye Ray Taqdeer Keh Sughra Ki Kami Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Hasrat Sy Jawan Laal Ko Maan Dekh Rahi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Karty Woh Tujhy Maot Ky Kis Tarha Hawaly
Ay Gaisoo’on Waly
Woh Dekh Ly Maan Khak Py Ghash Kha Ky Giri Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Hasrat Sy Jawan Laal Ko Maan Dekh Rahi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Tu Jaye Ga Akbar To Zara Soch Ly Ho Ga
Kya Haal Padar Ka
In Ki To Abhi Sy Hi Kamar Toot Gai Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Hasrat Sy Jawan Laal Ko Maan Dekh Rahi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Akbar Jo Chaly Marny Ko Dilgeer Hain Ghazi
Dekhy To Yeh Koi
Abbas E Alamdar Ki Ankhon Mein Nami Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Hasrat Sy Jawan Laal Ko Maan Dekh Rahi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Ay Shadman Izhar Bhala Roye Na Kiun Kar
Bas Aisa Tha Manzar
Khaimy Sy Keh Jaisy Koi Mayyat Si Uthi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai
Hasrat Sy Jawan Laal Ko Maan Dekh Rahi Hai
Rukhsat Ki Gharhi Hai