Reciter: Farhan Ali Waris

Allah Allah

Jayen Bashar Ki Nigaahen Jahan
Mojood Hai Teri Rehmat Wahan
Hai Teri Rehmaniyat Say Ayaan
Mehdood Hai Teri Rehmat Kahan

Teray Hi Jaisa Muhammad Tera
Jis Ky Liye Shayaron Nay Kaha

Ishq Ho Jaye Kisi Say Koi Chara To Nahi
Sirf Muslim Ka Muhammad Py Ijaarah To Nahi
Hai Us Muhammad Ki Ankhon Ka Chain
Kehta Hai Jis Ko Zamana Hussain

Insaniyat Py Hua Woh Fida
Har Aik Muslim To Kehta Hi Tha
Ab Ghair Muslim Bhi Kehnay Laga

Tera Hussain Mera Hussain

Rabb Ka Hussain Sab Ka Hussain
Pyaray Nabi Ka Nawasa Hussain

Aalam Ka Maqsood Naam E Hussain
Har Dill Mein Mojood Naam E Hussain
Phir Kiun Ho Mehdood Naam E Hussain
Hai Hamd O Mehmood Naam E Hussain

Tera Hussain Mera Hussain

Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain
Pyaray Nabi Ka Nawasa Hussain

Bachpan Ka Wada Wafa Yun Kiya
Kaaba Bachaya Bhara Ghar Diya
Jo Kaam Kar Na Sakay Anbiya
Phir Kiun Na Tu Hi Bata Ay Khuda
Sari Duniya Hussain Hussain Karay

Aaqa Hussain Hussain Mola Hussain
Rabb Ka Hussain Sab Ka Hussain

Ahl E Sunnat Wal Jamaat Ky Bazurg Shayer Peer Naseer Ud Din Shah Farmatay Hain:

Mera Khuda Jisay Aoj E Kamal Deta Hai
Usay Batool Ki Chokhat Py Daal Deta Hai
Parakhna Ho Jo Kisi Ko To Ya Hussain Kaho
Yeh Naam Woh Hai Jo Shajray Khangaal Deta Hai

Sunni Yeh Kehtay Hain Ya Mustafa
Tu Nay Hi Hum Ko Aqeeda Diya
Tu Nay Hussain O Minni Jo Kaha
Phir To Yeh Kehna Bhi Sunnat Hua

Tera Hussain Mera Hussain

Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain
Pyaray Nabi Ka Nawasa Hussain

Aaqa Hussain Hussain Mola Hussain
Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain

Hindu Mazhab Ky Ek Shayer Jay Singh Nay Imam Hussain As Ki Bargah Mein Yun Nazrana E Aqeedat Paish Kiya

Hai Aaj Bhi Zamanay Mein Charcha Hussain Ka
Chalta Hai Kayenaat Mein Sikka Hussain Ka
Bhaarat Mein Gar Woh Atay To Bhagwan Kehtay Hum
Har Hindu … Pooja Mein Jab … Hussain Ka
Sar Apna Peet’ti Hai Jo Pyason Ki Yaad Mein
Leti Hai Naam Ganga O Jamna Hussain Ka
Is Mein Nahi Kalam Keh Hum Khud Parast Hain
Ankhon Say Apni Choomen Gay Roza Hussain Ka
Hum Baqiyon Kay Wastay Hurr Ki Misaal Hain
Jab Lata Hai Naseeb Ishara Hussain Ka
Jaye Singh Panah Mangay Gi Mujh Say Na Rab Ki Aag
Main Hindu Hun Magar Hun Main Shaida Hussain Ka

Hindu Aqeeday Ka Ailaan Hai
Shabbir Py Jaan Qurban Hai
Pooja Ky Qaabil Hai Bhagwan Hai
Kehta Yeh Sar Hindustan Hai

Tera Hussain Mera Hussain

Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain
Pyaray Nabi Ka Nawasa Hussain

Aaqa Hussain Hussain Mola Hussain
Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain

Sikh Mazhab Ky Naamwar Shayer Kanwar Mahindar Singh Bedi Kehtay Hain

Ya Hussain Ya Hussain

Lab Pay Jab Shah E Shaeedan Tera Naam Ata Hai
Samnay Saqi E Kausar Liye Jaam Ata Hai
Mujh Ko Bhi Apni Ghulami Ka Sharaf Dy Dijiyo
Khota Sikka Bhi To Aaqa Ka Bhi Kaam Ata Hai

Ya Hussain Ya Hussain

Tu To Har Deen Ky Har Daor Ky Insan Ka Hai
Kam Kabhi Bhi Teri Toqeer Na Honay Den Gay
Hum Salamat Hain Zamanay Mein To Insha Allah
Tujh Ko Ek Qaom Ki Jageer Na Honay Den Gay

Daikho Sikhon Ky Bhi Afkaar Mein
Kya Hai Mahindar Ky Ashaar Mein
Bola Aqeedat Ky Izhar Mein
Main Bhi Hussaini Hun Sangsaar Mein

Tera Hussain Mera Hussain

Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain
Pyaray Nabi Ka Nawasa Hussain

Aaqa Hussain Hussain Mola Hussain
Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain

Aik Esaai Shayer Nay Mola Hussain Say Aqeedat Ka Izhar Kuch Is Andaaz Say Kiya

Faqat Hai Pyar Ka Dawa Har Aik Mazhab Ka
Jahan Bhi Zulm Hai Nafrat Hai Woh Jihaalat Hai
Yehi Woh Dars Hai Jo Dy Gaye Yasooh Maseeh
Jahan Mein Khudmat E Insaniyat Ibadat Hai
Hussain Aap Nay Insaniyat Ka Dars Diya
Hussain Ap Nay Soda Zameen Ka Na Kiya
Hussain Aap Ka Paigham Hi Mohabbat Hai
Hussain Aap Ki Duniya Ko Phir Zaroorat Hai

Rahib Jo Tha Aik Eesai Tha
Aulad Na Thi Pareshan Tha
Sheh Ny Kiye Saat Baitay Ataa
Khush Ho Ky Duniya Say Kehnay Laga

Tera Hussain Mera Hussain

Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain
Pyaray Nabi Ka Nawasa Hussain

Kiun Sari Duniya Ki Hai Yeh Sada
Batla Rahi Hai Hamen Karbala
Khanjar Talay Sheh Nay Sajda Kiya
Har Zarra Khaliq Say Kehnay Laga

Tera Hussain Mera Hussain

Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain
Pyaray Nabi Ka Nawasa Hussain

Insan Ka Mohsin Shah E Karbala
Insan Hi Sheh Ka Qatil Bana
Sab Kalma Go Thay Sar E Nainawa
Ehsas Kiun Na Kisi Ko Hua

Tera Hussain Mera Hussain

Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain
Pyaray Nabi Ka Nawasa Hussain

Kunbay Ko Us Ky Rulaya Gaya
Sayedanion Ko Kiya Bey Rida
Bazar O Darbar E Ahl E Jafa
Zainab Nay Har Gaam Khutba Diya

Tera Hussain Mera Hussain

Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain
Pyaray Nabi Ka Nawasa Hussain

Kiun Na Kahen Yeh Jo Islam Hai
Shabbir Ka Doosra Naam Hai
Ab To Jo Waajib Hai Yeh Kaam Hai
Farhan O Mazhar Ka Paigham Hai

Tera Hussain Mera Hussain

Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain
Pyaray Nabi Ka Nawasa Hussain

Rab Ka Hussain Sab Ka Hussain

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply