Sada Rahay Ga Hussain Hussain Mp3 Download & Lyrics Farhan Ali Waris Noha 2022
Sada Rahay Ga Hussain Hussain Mp3 Download & Lyrics written in urdu and english text and recited by noha khuwan Farhan Ali Waris in 2022. View Sada Rahay Ga Hussain Hussain Lyrics and download Farhan Ali Waris noha in mp3 audio on Khairilamal.
Sada Rahay Ga Hussain Hussain Mp3 Download
To download Sada Rahay Ga Hussain Hussain in mp3 audio by Farhan Ali Waris, please click on the image link.
Sada Rahay Ga Hussain Hussain Lyrics
Hussain Hussain Hussain Hussain
Fanaa Ho Jaye Gi Duniya
Lekin Khuda Ka Hai Wada
Jab Tak Yeh Aza Rahay Gi
Zehra Ki Dua Rahay Gi
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahen Gay
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Hussain Hussain
Zindabad Zindabad Sheh Ki Aza Zindabad
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Shabbir Ka Gham Rahay Ga Sada
Naslon Ko Wirsay Mein Dy Di Aza
Kal Hum Rahen Na Rahen Kya Pata
Zikr E Aza Aaho Buka Yeh Soch Ky Karna Sada
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahen Gay
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Hussain Hussain
Hum Hain Dua E Sayeda
Hum Hain Fida E Hussain
Zindabad Zindabad Sheh Ki Aza Zindabad
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Hussain Hussain
Niklen Gharon Sy Sabhi Noha Gar
Paidal Julooson Mein Karnay Safar
Na Fikr E Mosam Na Dushman Ka Darr
Oonchay Alam Barhtay Qadam
Ro Ky Hamen Is Mein Hai Dam
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahen Gay
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Seenay Mein Dil Dil Mein Hai Dharkan Dharhkan Mein Hussain
Aankhon Mein Ashkon Ka Hai Sawan Sawan Mein Hussain
Manga Hai Allah Sy Jeewan Jeewan Mein Hussain
Karbobala Hai Mera Maskan Maskan Mein Hussain
Tum Bhi Karo Hum Bhi Karen Matam E Hussain
Tum Bhi Parho Hum Bhi Parhen Majlis E Hussain
Tum Bhi Bano Hum Bhi Banen Zayer E Hussain
Tum Bhi Chalo Hum Bhi Chalen Maqtal E Hussain
Tum Bhi Uthao Alam Hum Bhi Uthayen Alam
Tum Bhi Barhao Qadam Hum Bhi Barhayen Qadam
Tum Bhi Yeh Khao Qadam Hum Bhi Yeh Khayen Qadam
Tum Bhi Manao Gay Gham Hum Bhi Manayen Gay Gham
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahen Gay
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Hussain Hussain
Rasm E Wafa Yun Nibhatay Hain Hum
Bachon Ko Saqa Banatay Hain Hum
Tehzeeb E Majlis Sikhatay Hain Hum
Noha Parho Matam Karo
Hum Ny Kiya Tum Bhi Karo
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahen Gay
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Hussain Hussain
Zikr E Aza Ko Aur Barhao Naslon Ko Yun Parwan Charhao
Matami Aur Namazi Banao Jo Kiya Tum Ny Inhen Bhi Sikhao
Guzren Jahan Say Juloos Aza Kay Raahon Mein Un Ky Sabeelen Lagao
Yeh Hain Sabeelen Yeh Pyason Ka Matam
Raahon Mein Hai Aseeron Ka Matam
Yeh Khoon Ka Pursa Yeh Zakhmon Ka Matam
Shoalon Py Abid Ky Chaalon Ka Matam
Zikr E Sakina Tamanchon Ka Matam
Hota Rahay Ga Shaheedon Ka Matam
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahen Gay
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Hussain Hussain
Har Sans Py Qarz Hai Sheh Ka Gham
Jitna Bhi Matam Karen Woh Hai Kam
Farshe Aza Par Nikal Jaye Dam
Jitni Bachi Hai Zindagi Kartay Rahen Yeh Nokri
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahen Gay
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Hussain Hussain
Maot Kay Sailab Mein Har Khushk O Tar Beh Jaye Ga
Han Magar Naam E Hussain Ibne Ali Reh Jaye Ga
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahen Gay
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Hussain Hussain
Bibi Ki Mehnat Yeh Rang Lai Hai
Matam Ka Har Koi Shaidai Hai
Ahl E Aza Ny Qasam Khai Hai
Yeh Dil Hai Kya Yeh Jaan Hai Kya
Shabbir Par Sab Kuch Fida
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahen Gay
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Hussain Hussain
Hum Na Kabhi Bholen Gy Yeh Gham Mola Ki Qasam
Noha Parhen Gy Yehi Har Dam Mola Ki Qasam
Ruknay Nahi Den Gay Yeh Matam Mola Ki Qasam
Jhuknay Nahi Den Gay Yeh Parcham Mola Ki Qasam
Ahl E Aza Ao Matam Karen Hum
Mehw E Buka Ao Matam Karen Hum
Sadaat Ka Ao Matam Karen Hum
Gham Hai Barha Ao Matam Karen Hum
Goonjay Sada Aao Matam Karen Hum
Bas Har Jaga Aao Matam Karen Hum
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahen Gay
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Hussain Hussain
Yeh Tera Matam Yeh Nohay Rahen Gay
Farhan O Mazhar Yeh Kehtey Rahen Gay
Naslon Ko Paigham Detay Rahen Gay
Yun Hi Charagh E Aza Bhi Jalen Gay
Na Yeh Qadam Ruk Saky Na Ruken Gay
Majlis Ki Janib Yeh Barhtay Rahen Gay
Na Tum Raho Gay Na Hum Rahen Gay
Sun Lay Yeh Sara Zamana
Aza Rahay Gi Aza Rahay Gi
Sada Rahay Ga Hussain Hussain
Hussain Hussain Mola Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain Hussain
Leave a Reply