Reciter: Joan Rizvi
Ab Tak Hai Zubanaon Py Alamdar Alamdar
Abbas Alamdar Abbas Alamdar
Kis Shan Say Baba Ka Alam Tu Nay Uthaya
Abbas Alamdar Abbas Alamdar
Ay Shair E Jawan Ay Pisar E Haider E Karrar
Abbas Alamdar Abbas Alamdar
Sakhi Abbas Alamdar Jari Abbas Alamdar Sakhi Abbas Alamdar
Tu Shair E Jali Ibne Ali Ibne Wali Hai
Kehti Hai Tujhy Karbobala Haider E Karrar
Sakhi Abbas Alamdar Jari Abbas Alamdar Sakhi Abbas Alamdar
Tu Fatima Zahra Ki Duaon Ka Sila Hai
Khud Haider E Karrar Ny Manga To Mila Hai
Tu Bhi Hai Ali Teri Ragon Mein Bhi Wila Hai
Tu Shah E Wafa Ishq E Manam Jaan E Azadar
Aala Hai Zabardast Sardaron Ka Sardar
Sakhi Abbas Alamdar Jari Abbas Alamdar Sakhi Abbas Alamdar
Rutba Yeh Bhala Kis Ko Mila Dono Jahan Mein
Woh Tu Hai Keh Shabbir Bhi Hain Jis Ki Amaan Mein
Shamil Hai Teri Marzi Bhi Allah Ki Haan Mein
Dharas Hai Ali Walon Ko Tujh Say Ay Wafadar
Bazoo Bhi Nahi Phir Bhi Hai Tu Sab Ka Madadgar
Sakhi Abbas Alamdar Jari Abbas Alamdar Sakhi Abbas Alamdar
Tu Jafar E Tayyar Ki Jurrat Ka Libada
Tikta Hai Tery Samnay Kab Koi Zayada
Tu Taigh Chalanay Ka Agar Kar Lay Irada
Phir Maot Ky Chungal Say Niklata Nahi Farrar
Burraq Kay Jaisi Hai Tery Ghorhy Ki Raftar
Sakhi Abbas Alamdar Jari Abbas Alamdar Sakhi Abbas Alamdar
Siffeen Mein Tu Aisay Larha Shair E Dilawar
Ek Waar Kiya Waar To Dekha Nahi Murh Kar
Dharh Chorh Ky Maidan Mein Kat Kat Ky Giry Sar
Sab Kehnay Lagy Aa Gaye Kya Haider E Karrar
Baba Ki Tarah Tu Bhi Chalata Raha Talwaar
Sakhi Abbas Alamdar Jari Abbas Alamdar Sakhi Abbas Alamdar
Yeh Bazoo Salamat Hain To Bas Tery Karam Say
Dushman Tera Jalta Hai To Jalta Rahay Hum Say
Hum Door Nahi Hon Gay Kabhi Tery Alam Say
Jo Bughz Rakhy Tujh Say Woh Lanat Ka Hai Haqdaar
Iblees Hai Jo Teri Wafa Ka Karay Inkaar
Sakhi Abbas Alamdar Jari Abbas Alamdar Sakhi Abbas Alamdar
Woh Kaabay Ki Chat Aur Jalali Tera Khutba
Kaabay Ny Liya Pehly Tery Qadmon Ka Bosa
Phir Kaaba Hussain Ibne Ali Say Yeh Pukara
Hai Ghaiz Mein Abbas Ko Roken Mery Sarkaar
Yeh Itna Jalali Hai Keh Gir Jaye Gi Deewar
Sakhi Abbas Alamdar Jari Abbas Alamdar Sakhi Abbas Alamdar
Haye Ghazi Haye Ghazi
Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas
Bas Gham Hai Yehi Dil E Ahl E Aza Mein
Afsos Ijazat Na Mili Karbobala Mein
Bey Dast Hua Mara Gaya Dasht E Jafa Mein
Yeh Kehty Huye Jashan Manatay Hain Sitamgar
Han Mara Gaya Lashkar E Shabbir Ka Salaar
Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas
Ho Sham E Ghareeban Woh Haram Aur Udasi
Pani Na Mila Bali Sakina Rahi Pyasi
Bey Parda Hui Haye Muhammad Ki Nawasi
Tu Qatal Hua Khaimay Jalay Lut Gaya Ghar Baar
Zainab Ki Sada Ati Rahi Khaimay Say Har Baar
Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas Haye Abbas
Zeeshan Hai To Joan Tery Dar Ka Hai Nokar
Bas Dil Mein Yeh Armaan Hai Ay Sani E Haider
Seenay Say Laga Hum Ko Bhi Rozay Py Bula Kar
Ho Jaye Karam Karbobala Dekh Len Ek Baar
Kehtay Hain Aza Khana Saja Kar Yeh Azadar
Sakhi Abbas Alamdar Jari Abbas Alamdar Sakhi Abbas Alamdar