Reciter: Mir Sajjad Mir
Ya Madar E Ghazi
Ya Madar E Ghazi
Assalam O Alaike Ya Zojata Wasi E Rasool Allah
Assalam O Alaike Ya Azeezata Zahra
Assalam O Alaike Ya Ummul Baneen
Salam Salam Ummul Baneen Assalam
Ummul Baneen Deen E Khuda Ka Nisab Hai
Is Ki Fazeelaton Ka Bhala Kab Hisab Hai
Kaisa Ehaata Ho Keh Samandar Ka Aab Hai
Yani Har Ek Sawal Ka Bas Yeh Jawab Hai
Hai Is Ki Bargah Mein Midhat Guzaar Chand
Is Ny Ali Ke Ghar Ko Lagaye Hain Char Chaand
Salam Salam Ummul Baneen Assalam
Ghar Mein Ali Ke Aain To Pehla Kiya Yeh Kaam
Chokhat Pakarh Ky Binte Nabi Ko Kiya Salam
Boli Kaneez Aai Hai Is Ghar Ky Karny Kam
Den Izn Aap Aap Ky Ghar Mein Karun Qayam
Parhti Hui Durood Woh Zehra Ki Yad Mein
Bab E Zawayej Aa Gai Sehn E Muraad Mein
Salam Salam Ummul Baneen Assalam
Zainab Ky Kam Karna Ibadat Samajh Liya
Kachy Makan Ko Deen Ki Imarat Samajh Liya
Har Gaam Tang Dasti Ko Neymat Samajh Liya
Mola Ki Bat Bat Ko Ayat Samajh Liya
Saye Ko In Ky Apni Amaan Bolny Lagy
Zahra Ky Ladly Inhen Maan Bolny Lagy
Salam Salam Ummul Baneen Assalam
Ek Din Woh Din Bhi Aaya Keh Tha Jis Ka Intezaar
Ghar Mein Ali Ky Aa Gaye Abbas E Namdar
Shehzadi Shukar Karti Thi Khaliq Ka Bar Bar
Khud Arsh Poochta Tha Ke Hai Kon Zee Waqar
Ummul Baneen Hai Kon Si Daolat Liye Huye
Phailaye Hath Mola Ali Hain Kharhy Huye
Salam Salam Ummul Baneen Assalam
Naam Sab Jahan Mein Sab Sy Anokha Mila Inhen
Zehra Ki Khawahishon Ka Khulasa Mila Inhen
Had Ho Gai Wafaon Ka Kaaba Mila Inhen
Beta Nahi Nabi Ka Nawasa Mila Inhen
Soorat Mein Apny Bety Ki Rab Ka Wali Diya
Yeh Bibi Woh Hai Jis Ny Ali Ko Ali Diya
Salam Salam Ummul Baneen Assalam
Dy Kar Pisar Ko Goud Mein Mola Ky Phir Kaha
Shadi Sy Pehly Mainy Yeh Ek Khawab Dekha Tha
Aaya Tha Meri Goud Mein Woh Chand Arsh Ka
Ab Ja Ky Is Kaneez Py Yeh Raaz Hai Khula
Woh Chand Kab Tha Aap Ka Akkas Aaya Tha
Madar Se Milny Khawab Mein Abbas Aaya Tha
Salam Salam Ummul Baneen Assalam
Zehra Ko Un Ky Baiton Ka Hubdar Dy Diya
Haider Ko Phir Se Jafar E Tayyar Dy Diya
Shabbar Ko Aik Aur Wafadar Dy Diya
Shabbir Ko To Faoj Ka Salaar Dy Diya
Yad Aaye Ga Rasool Ky Nayeb Ka Bachpana
Dekhen Gy Panjatan Abu Talib Ka Bachpana
Salam Salam Ummul Baneen Assalam
Ghazi Ko Is Ny Wafa Nibhana Sikha Diya
Sajjad Is Ny Deen Ko Bachana Sikha Diya
Bachpan Mein Hi Alam Ko Uthana Sikha Diya
Nazron Sy Dushmanon Ko Darana Sikha Diya
Battees Saal Tak Woh Jiya Is Jalaal Se
Koi Nazar Mila Na Saka Is Ky Laal Se
Salam Salam Ummul Baneen Assalam