Sarkar E Ghazi Lyrics Mola Abbas Manqabat S M Hussain Zaidi

Sarkar E Ghazi Lyrics in Urdu and English recited by S M Hussain Zaidi in 2021. A Mola Abbas Manqabat

Sarkar E Ghazi Lyrics in English

Wafadar Sakhi Sardar
Wafadar Alamdar

Wafadar Sakhi Sardar
Wafadar Alamdar

Jamal E Haider E Karrar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Ali Ky Shair Ny Kya Shan Pai
Pidar Ki Yad Dushman Ko Dilai
Chali Jab Bhi Teri Talwar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Jamal E Haider E Karrar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Tery Dar Sy Agar Bhagy Ga Koi
Usy Maidan Sy Jany Na Dy Gi
Tery Rahwar Ki Raftar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Jamal E Haider E Karrar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Kiya Siffen Mein Aisa Safaya
Jo Aaya Samny Woh Bacha Na Paya
Ghazab Ka Hai Tera Rahwar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Jamal E Haider E Karrar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Tery Bhai Jinaan Ky Shahzady
To Phir Jannat Mein Woh Jaye Ga Kaisy
Jisy Tujh Sy Nahi Hai Pyar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Jamal E Haider E Karrar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Tera Chehra To Hai Chehra Ali Ka
Tu Pehli Bar Jab Kaaby Sy Guzra
Tujhy Takti Rahi Deewar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Jamal E Haider E Karrar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Farishton Ki Salami Chahta Hun
Tery Dar Ki Ghulami Chahta Hun
Karun Main Kis Tarah Izhar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Jamal E Haider E Karrar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Kary Duniya Bhala Tareef Jitni
Hai Bas Zeeshan Ki Pehchan Itni
Main Nokar Main Tery Hubdaar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Jamal E Haider E Karrar Ghazi
Kamal E Kibriya Sarkar Ghazi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *