Reciter: Tejani Brothers
Sham-e-Gharibaa, Jhalte khayme, Zainab tanha
Ghazi kahaan ho, koi nahi hai, uska sahara, uska sahara
Shaam kaisi gharibo(n) pe, wo shaam thi
Jisme Zainab lutti, Berida hogayi
Shaam kaisi gharibo(n) pe, wo shaam thi
Jhalte khaymo(n) se, jab bahir aaye haram
Boli ye Zainab, kistarha rakhungi qadam
Haaye mei berdida berida hogayi
Shaam kaisi gharibo(n) pe, wo shaam thi
Jiske no bhaayi, maqtal mei mare gaye
Jisne dekha tha, Shabbir ko teygh tale
Sab se wo, haay juda, haay juda hogayi
Shaam kaisi gharibo(n) pe, wo shaam thi
Bahrain me momin pe, hote hai jo zulm-o-sitam
Har su laashe hai, kistarha karenge raqam
Aaj bhi karbala, karbala hogayi
Shaam kaisi gharibo(n) pe, wo shaam thi
Haider ki godi, mei jo bibi hai pali
Beti Zahra ki, beparda sham chali
Bhaayi se alvida, alvida hogayi
Shaam kaisi gharibo(n) pe, wo shaam thi
Ghabra ke Sakina, maqtal mei chali aayi
Tanha ab hu(n) mei, roke wo ye chillaayi
Baap se jo vida, jo vida hogayi
Shaam kaisi gharibo(n) pe, wo shaam thi
Zainab ne bachaaya, Sajjad ko sholo(n) se
abid ko khandho(n), pe laayi khaymo(n) se
Deen ki zamina, zamina hogayi
Kya waqt para hai, ab dukhtar-e-zahra par
Haaye ghayro(n) se, wo mangti hai chadar
Be amaa(n), kis tarha, kis tarha hogayi
Shaam kaisi gharibo(n) pe, wo shaam thi
Khaymo(n) ke baahir, zainab hai pehre par
Abbas ki tarha, banke binte haider
Sab ki wo aasra, aasra hogayi
Shaam kaisi gharibo(n) pe, wo shaam thi
Karta hai “Abbas” dua, ta hashr rahe zinda
Is saare jahaa(n) mei , maula matam ye tera
Ye aza har jaga, har jaga hogayi
Shaam kaisi gharibo(n) pe, wo shaam thi