Reciter: Ahmed Raza Nasiri

Shaban Shaban Shaban Shaban

Emaan Ka Irfan Yeh Irfan Moazzam
Yani Shaoor E Deen Hai Shaban Moazzam

Har Saal Kai Admi Jatay Hain Karbala
Har Sal Kai Bantay Hain Insan Moazzam

Shaban Ka Mahina Shaban Ka Mahina

Shaban Moazzam

Emaan Ka Mahina Shaban Ka Mahina

Labbaik Ya Hussain Kay Ailaan Ka Mahina

Shaban Ka Mahina

Emaan Ka Mahina Shaban Ka Mahina

Shaban Ka Mahina Shaban Ka Mahina

Har Maah Kay Liye Hai Yeh Maah E Sarfarazi
Shabbir Aur Zainab Aye Hain Is Mein Ghazi
Quran Par Hai Yani Quran Ka Mahina
Shaban Ka Mahina

Emaan Ka Mahina Shaban Ka Mahina

Ab Mustafa Kahen Gay Mujh Say Hussain Hai Yeh
Aur Main Hussain Say Hun Ailaan Mera Suniye
Hai Dast E Sayeda Kay Palaan Ka Mahina
Shaban Ka Mahina

Emaan Ka Mahina Shaban Ka Mahina

Akbar Kay Noor Ki Yeh Tanzeel Ka Mahina
Hai Noor E Mustafa Ki Tamseel Ka Mahina
Yani Har Ek Jawan Ki Pehchan Ka Mahina
Shaban Ka Mahina

Emaan Ka Mahina Shaban Ka Mahina

Is Maah Sab Hussaini Jannat Mein Ja Rahay Hain
Sab Karbala Kay Zayer Naray Laga Rahay Hain
Yeh Hai Yazeediyat Kay Nuqsan Ka Mahina
Shaban Ka Mahina

Emaan Ka Mahina Shaban Ka Mahina

Saray Munafiqon Ki Ho Gi Zubaan Bandi
Sab Kaazibon Ki Ho Gi Ab To Bayan Bandi
Yeh Hai Yeh Hai Yeh Hai
Yeh Hai Sahi Sahabi Salman Ka Mahina
Shaban Ka Mahina

Emaan Ka Mahina Shaban Ka Mahina

Jashn E Hussainiyat Hai Har Surkhroo Watan Mein
Sham O Iraq Mein Aur Lebanon Mein Yaman Mein
Saihooniyat Py Bhari Iran Ka Mahina
Shaban Ka Mahina

Emaan Ka Mahina Shaban Ka Mahina

Daaway Daleel Saray Raddi Mein Dalnay Hain
Bas Al Ajal Mein Yasir Lamhay Guzarnay Hain
Hai Bahrwain Khudai Burhan Ka Mahina
Shaban Ka Mahina

Emaan Ka Mahina Shaban Ka Mahina

Leave a Reply