Reciter: Joan Rizvi
Haye Hussain Haye Hussain
Haye Hussain Haye Hussain Haye Hussain
Haye Hussain Haye Hussain
Kis Hal Mein Maqtal Mein Tha Shabbir Ka Lasha
Zainab Ko Khabar Hai
Paiwast Kahan Teer Thay Kis Kis Jaga Naiza
Zainab Ko Khabar Hai
Kis Hal Mein Maqtal Mein Tha Shabbir Ka Lasha
Zainab Ko Khabar Hai
Zulfon Say Uthatay Thay Laeen Jab Sar E Shabbir
Sehti Rahi Hamsheer
Kis Kis Nay Uthaya Usay Kis Kis Nay Giriya
Zainab Ko Khabar Hai
Kis Hal Mein Maqtal Mein Tha Shabbir Ka Lasha
Zainab Ko Khabar Hai
Thi Chand Qadam Door Behan Khaimay Kay Darr Par
Tha Halq Pay Khanjar
Khanjar Talay Mazloom Nay Kis Kis Ko Pukara
Zainab Ko Khabar Hai
Kis Hal Mein Maqtal Mein Tha Shabbir Ka Lasha
Zainab Ko Khabar Hai
Maqtal Mein Laeen Aaya To Mojood Thi Beti
Jo Baap Say Lipti
Kis Tarah Kiya Dono Ko Zalim Nay Alehda
Zainab Ko Khabar Hai
Kis Hal Mein Maqtal Mein Tha Shabbir Ka Lasha
Zainab Ko Khabar Hai
Haye
Sheh Kehtay Thay Har Zarb Pay Jab Haye Baradar
Ay Meray Dilawar
Har Zarb Pay Tarhpa Koi Lasha Lab E Dariya
Zainab Ko Khabar Hai
Kis Hal Mein Maqtal Mein Tha Shabbir Ka Lasha
Zainab Ko Khabar Hai
Khaimon Mein Lagi Aag To Shoalon Say Guzar Kar
Bey Maqna O Chadar
Kis Tarah Say Sajjad Ko Shoalon Say Nikala
Zainab Ko Khabar Hai
Kis Hal Mein Maqtal Mein Tha Shabbir Ka Lasha
Zainab Ko Khabar Hai
Bey Gor O Kafan Chorha Gaya Lasha E Bey Sar
Roi Na Lipat Kar
Kya Sabr Ki Mairaj Hai Yeh Sani E Zahra
Zainab Ko Khabar Hai
Kis Hal Mein Maqtal Mein Tha Shabbir Ka Lasha
Zainab Ko Khabar Hai
Jis Kay Bina Shabbir Ka Kat’ta Na Tha Ek Pal
Ankhon Say Hai Ojhal
Zakhmi Dill E Shabbir Hai Akbar Say Zyada
Zainab Ko Khabar Hai
Kis Hal Mein Maqtal Mein Tha Shabbir Ka Lasha
Zainab Ko Khabar Hai
Mohsin Abhi Likha Hai Masayeb Ka Khulasa
Dill Phat’ta Hai Mera
Tafseer E Masayeb Ki Hai Zahra Ko Khabar Ya
Zainab Ko Khabar Hai
Kis Hal Mein Maqtal Mein Tha Shabbir Ka Lasha
Zainab Ko Khabar Hai