Reciter: Syed Raza Abbas Zaidi
Shah Jab Lasha E Bey Sheer Ko Hathon Py Liye
Haye Maidan Say Khaimon Ki Taraf Janay Lagay
Raah Mein Saat Qadam Aagay Barhay Peechy Hatay
Apnay Zaanoo Py Phir Asghar Ka Janaza Rakh Kay
Kaisay Shabbir Nay Dill Apna Sambhala Ho Ga
Teer Jab Gardan E Asghar Say Nikala Ho Ga
Khainch Kar Teer Phir Ek Baar Shah E Deen Chalay
Lash Uthaye Huye Jab Khaimay Ky Dar Par Pahunchay
Parda Khaimay Ka Hatatay Huye Kuch Dair Rukay
Yad Jab Aaiin Sakina To Yeh Keh Kar Paltay
Gham Say Mar Jaye Gi Jab Samnay Aye Gi Bahan
Bhai Ka Zakhmi Gala Daikh Na Paye Gi Bahan
Aa Gaye Lasha Liye Khaimon Kay Peechay Shah E Deen
Bolay Asghar Ki Taraf Daikh Ky Ay Meray Haseen
Kash Keh Hum Bhi Teray Sath Hi Mar Jatay Waheen
Haye Itna To Tujhay Teer Nay Bhi Mara Nahi
Rann Mein Mara Hai Tujhy Garm Hawa Nay Jitna
Munh Khula Reh Gaya Pyasa Tha Najanay Kitna
Shiddat E Dhoop Woh Sehra Ki Tapish Loo Ki Chubhan
Qabar Talwar Say Jab Khod Chukay Shah E Zamann
Ro Ke Kehnay Lagay Phaila Kay Abaa Ka Daman
Kahan Yeh Jalti Zameen Aur Kahan Nazuk Sa Badan
Kabhi Chooma Kabhi Seenay Say Lagaya Lasha
Baap Nay Qabr Mein Rakh Rakh Ky Uthaya Lasha
Ya Ali Keh Kay Jo Phir Qabr Mein Lasha Rakha
Maan Na Aa Jaye Kaii Baar Yeh Uth Kar Dekha
Paon Ki Simt Sy Tadfeen Ka Aaghaz Kiya
Tann Chupatay Huye Jab Hath Galay Tak Pahuncha
Bosa Bey Sheer Ki Gardan Ka Barhi Dair Liya
Khak Mein Chehra Chupatay Huye Munh Phair Liya
Sar Charhaye Gaye Jab Naizon Py Ek Sar Na Mila
Khak Mein Naiza Garhatay Huye Zalim Nikla
Dhundty Dhundty Woh Khaimon Ky Peechay Pahuncha
Maar Kar Naiza Jo Khaincha To Badan Saath Aya
Rann Mein Jab Umme Rubab Aain Yeh Manzar Dekha
Apnay Bachay Ka Badan Nok E Sinaan Par Dekha
Haye Zeeshan O Raza Zulm Yahan Bhi Na Ruka
Jab Tarhaptay Huye Bey Sheer Ki Maan Ko Daikha
Us Nay Naizay Say Badan Khainch Kay Matti Py Rakha
Samnay Maan Ky Gala Kaat Diya Asghar Ka
Yeh Laeen Janay Ya Maan Janay Ya Janay Asghar
Naiza Us Sar Mein Piroya Tha Ya Phir Naizay Mein Sar