Reciter: Mir Hasan Mir
Zaamin E Aah O Reza
Shukriya Mola Raza
Ay Ghareeb Ul Ghuraba
Sun Ly Hum Sab Ki Sada
Hum Ko Rozy Py Bula
Apna Zawwar Bana
Aa Ke Chokhat Py Teri
Hum Gunehgar Karen
Shukar Ka Sajda Ada
Shukriya Mola Raza
Hajj Ghareebon Ka Tere Dar Py Hua
Shukriya Mola Raza
Tang Dasti Mein Bhala Kaisy Safar Par Jaty
Isteta’at Hi Nahi Thi Keh Woh Hajj Par Jaty
Hajj Yun Mashaad Mein Ghareebon Ny Kiya
Shukriya Mola Raza
Qasam Allah Ki Hum Log Nahi Thy Qabil
Tu Ny Zawwaron Mein Apny Kiya Hum Ko Shamil
Hum Ny Bhi Dekh Liya Roza Tera
Shukriya Mola Raza
Tere Badon Ke Muqaddar Hai Tera Dastar Khuwan
Man O Salwa Ke Barabar Hai Tera Dastar Khuwan
Dy Di Duniya Mein Hi Jannat Ki Ghiza
Shukriya Mola Raza
Jadd Ki Midhat Ka Tujhy Shoq Barha Hai Mola
Shayeron Par To Teri Khas Ata Hai Maola
Ly Ky Inaam Yeh Debal Ny Kaha
Shukriya Mola Raza
Han Samajhta Hun Tere Nam Ki Azmat Main Bhi
Husn E Yousuf Ki Laga Sakta Hun Qeemat Main Bhi
Hai Mere Pas Jo Sikka Tera
Shukriya Mola Raza
Jab Se Mainy Hai Parha Aap Ka Farman E Majeed
Aap Aur Aap Ky Ghar Waly Hain Shart E Toheed
Baad E Kalma Hun Main Tab Se Kehta
Shukriya Mola Raza
Apny Zaayer Ko Na Mehroom Rakha Tu Ny Kafeel
Hai Tere Sehn Mein Mojood Sunehri Jo Sabeel
Zayeqa Us Ka Hai Zam Zam Jaisa
Shukriya Mola Raza
Din Nikalny Ki Khabar Ho Keh Woh Dhalny Ka Bayan
Subah Uthny Ki Salami Ho Ya Sony Ka Payam
Assalam O Alaika Ya Ghareeb Al Ghurbaa
Dono Pehron Hai Yeh Nobat Ki Sada
Shukriya Mola Raza
Kar Diya Shair Ko Tasveer Se Zinda Jaisy
Khak Ke Zarry Se Masooma E Qum Ky Sadqay
Aap Ny Mir Hasan Mir Kiya
Shukriya Mola Raza