Reciter: Farhan Ali Waris

Allah O Akbar

Dhal Gai Ashoor Ki Raat
Phaili Safaidi Subho Ki
Ro Kay Bola Ibne Zehra
Waqt Aya Hai Azan Ka
Ay Shabeeh E Mustafa
Subhe Ashoor Hai Dy Dy Akbar Azaan

Subhe Ashoor Hai Dy Dy Akbar Azaan

Ay Shabeeh E Mustafa Ay Meray Karyal Jawan

Meray Nojawan Dy Aisi Azaan
Jo Pahunchay Jinaan Rahay Ta Jahaan
Jaan E Baba
Allah O Akbar

Subhe Ashoor Hai Dy Dy Akbar Azaan

Ay Shabeeh E Mustafa Ay Meray Karyal Jawan

Shabeeh E Nabi Yahan Hai Tu Hi
Sar E Karbala Phuphi Ka Teri
Hai Yeh Noha
Allah O Akbar

Subhe Ashoor Hai Dy Dy Akbar Azaan

Ay Shabeeh E Mustafa Ay Meray Karyal Jawan

Dill E Gham Zada Karay Yeh Buka
Meri Jang Ki Ho Yun Ibtida
Meray Beta
Allah O Akbar

Subhe Ashoor Hai Dy Dy Akbar Azaan

Ay Shabeeh E Mustafa Ay Meray Karhyal Jawan

Yeh Gham Ka Samaan Jo Daikha Jahan
Behan Noha Garr Musallay Pay Maan
Boli Fizza
Allah O Akbar

Subhe Ashoor Hai Dy Dy Akbar Azaan

Ay Shabeeh E Mustafa Ay Meray Karhyal Jawan

Azaan Ho To Yun Mujhay Ho Sukoon
Har Aik Lafz Mein Nazar Aaye Khoon
Meray Jadd Ka
Allah O Akbar

Subhe Ashoor Hai Dy Dy Akbar Azaan

Ay Shabeeh E Mustafa Ay Meray Karhyal Jawan

Azaan Mein Asar Ho Itna Pisar
Rakhay Jab Hawa Usay Dosh Par
Sun Lay Sughra

Subhe Ashoor Hai Dy Dy Akbar Azaan

Ay Shabeeh E Mustafa Ay Meray Karhyal Jawan

Abhi Hain Yahan Meray Nojawan
Sunen Gay Azaan Meray Nana Jaan
Tery Dada
Allah O Akbar

Subhe Ashoor Hai Dy Dy Akbar Azaan

Ay Shabeeh E Mustafa Ay Meray Karhyal Jawan

Azan Betay Ki Jo Mazhar Suni
Kaha Shah Nay Yehi Us Gharhi
Shukar E Maula
Allah O Akbar

Subhe Ashoor Hai Dy Dy Akbar Azaan

Ay Shabeeh E Mustafa Ay Meray Karhyal Jawan

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply