Reciter: Tejani Brothers
Haye
Akhri Waqt Mein Baba Say Milay Jab Baqir
Rota Dekha Jo Padar Ko To Kaha Baba Say Phir
Aray Aisay Kiun Rotay Ho Baba Yeh Batao Mujh Ko
Apnay Seenay Say Meray Baba Lagao Mujh Ko
Haye Bolay Yeh Sayed E Sajjad Pisar Say Ro Kar
Yad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Bolay Yeh Syed E Sajjad Pisar Say Ro Kar
Yad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Tu Nay Sar Rakha Meray Laal Junhi Seenay Par
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Bolay Yeh Syed E Sajjad Pisar Say Ro Kar
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Tu Nay Sar Seenay Py Jis Dam Meray Beta Rakha
Yad Aya Mujhay Baba Ka Woh Rukhsat Hona
Keh Kay Sajjad Faqat Itna Huye Noha Garr
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Bolay Yeh Syed E Sajjad Pisar Say Ro Kar
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Kya Sunaun Main Tujhay Lakht E Jigar Yeh Roodad
Aa Gayi Asghar E Bay Sheer Kay Halqoom Ki Yaad
Meri Gardan Ka Liya Tu Nay Jo Bosa Dilbarr
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Bolay Yeh Syed E Sajjad Pisar Say Ro Kar
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Is Tarha Say Ay Pisar Tu Nay Yeh Shaanay Thaamay
Meri Nazron Mein Utar Aaye Bureeda Shanay
Taza Ammu Ka Hua Daagh Yeh Phir Say Dill Par
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Bolay Yeh Syed E Sajjad Pisar Say Ro Kar
Yad Aya Hai Mujhy Karbobala Ka Manzar
Tu Nay Seenay Py Meray Hath Jo Rakha Beta
Ali Akbar Ky Mujhay Zakhm Nay Bechain Kiya
Barchi Seenay Mein Thi Tarhpa Mera Bhai Akbar
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Bolay Yeh Sayed E Sajjad Pisar Say Ro Kar

Zakhmi Bazu Mujhay Yaad Aaye Phuphi Zainab Kay
Tu Nay Jis Waqt Meray Shaanay Ay Beta Pakrhy
Reesman Bandhi Gai Zakhm Huye Shaanon Par
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Bolay Yeh Sayed E Sajjad Pisar Say Ro Kar
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Tu Nay Ashkon Ko Meri Aankhon Say Jab Saaf Kiya
Yaad Aaya Hai Mujhay Teri Phuphi Ka Giriya
Umar Masoom Sakina Nay Guzaari Ro Kar
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Bolay Yeh Sayed E Sajjad Pisar Say Ro Kar
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Beta Baqir Main Karun Tujh Say Bayaan Kaisay Bhala
Tujh Say Kuch Dair Mein Ho Jaye Ga Yeh Baap Juda
Jeena Dushwar Mujhay Lagnay Laga Lakht E Jigar
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Bolay Yeh Sayed E Sajjad Pisar Say Ro Kar
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Sun Kay Baba Say Sukhan Rotay Thay Baqir Johar
Aur Tejani Sadaa Detay Thay Yehi Ro Kar
Ay Meray Baba Tumhari Yeh Museebat Sun Kar
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Bolay Yeh Sayed E Sajjad Pisar Say Ro Kar
Yaad Aaya Hai Mujhay Karbobala Ka Manzar
Haye Sajjad Haye Sajjad