Reciter: Mir Hasan Mir
Ya Ali..
Ya Ali Adrikni
Ro Ky Bazar Mein Deti Thi Sada Binte Ali
Ya Ali Adrikni
Nok E Naiza Sy Sada Deta Hai Ibne Zahra
Log Zainab Ki Taraf Dekh Rahy Hain Baba
Zair E Khanjar Nazar Ati Hai Tumhari Beti
Ya Ali Adrikni
Imtehan Ghairat E Sajjad Ka Kaisa Ho Ga
Qatal Darbar Main Sajjad Dobara Ho Ga
Mangny Aya Hai Bachi Ko Kaneezi Mein Shaqi
Ya Ali Adrikni
Kehdo Zalim Sy Mujhy Mar Ly Aa Kar Durra
Baba Zainab Sy Yeah Manzar Nahi Dekha Jata
Marta Hai Woh Mery Bhai Ky Honton Py Charhi
Ya Ali Adrikni
Sar Khuly Shaam Mein Sadaat Jidhar Jaty Hain
Log Pathar Liye Pehly Hi Nazar Aty Hain
Aaj Bazar Mein Mar Jaye Na Koi Bibi
Ya Ali Adrikni
Aap Ky Samny Jo Bat Nahi Karti Thi
Aaj Bazaar Main Woh Baiti Bhi Khutby Dy Gi
Aap Ky Lehjay Ki Is Waqt Zaroorat Hai Barhi
Ya Ali Adrikni
Abhi Darbar Sy Pehly Hi Guzar Jaye Gi
Sun Liya Sani E Zahra Ny To Mar Jaye Gi
Log Kehty Hain Hussain Ibne Ali Ko Baaghi
Ya Ali Adrikni
Sary Bazar Ny Hans Hans Ky Tamasha Dekha
Aur Bhi Shimr Ny Is Baat Py Is Ko Mara
Jab Tamanchon Py Sakina Yeh Tarhap Kar Boli
Ya Ali Adrikni
Bab E Sa’at Ka Jo Bazar Sy Dekha Manzar
Thay Takallum Wahan Sub Log Uthaye Pathar
Sani E Zahra Yeah Kehti Hui Naqay Sy Giri
Ya Ali Adrikni