Reciter: Farhan Ali Waris

Ali Ali Ali Sarkar Ya Ali Sarkar Ya Ali Teri Sarkar Ya Ali

Chak Kar Parda E Ghaibat To Hum Daikh Len
Ya Ali Teray Waris Ka Bharam Daikh Len
Jis Kay Anay Say Badal Jaye Ga Yeh Jahaan
In Hi Ankhon Say Wohi Naqsh E Qadam Daikh To Len

Chahtay Hain Yeh Azadaar
Ya Ali Apki Sarkar

Hai Dua Labb Pay Yeh Har Baar
Ya Ali Apki Sarkar

Chahtay Hain Yeh Azadar
Ya Ali Apki Sarkar

Ya Ali Hum Teary Waris Ka Bharam Daikh To Len
Us Ky Hathon Mein Bhi Ghazi Ka Alam Daikh To Len
Inhi Ankhon Say Wohi Naqsh E Adam Daikh To Len
Hai Dua Phir Say Ho Ek Baar Ya Ali Apki Sarkar

Chahtay Hain Yeh Azadar
Ya Ali Apki Sarkar
Ya Ali Apki Sarkar

Aisi Sarkar Jahan Charon Taraf Pyar Milay
Aisi Sarkar Jahan Zulm Say Takraar Milay
Aisi Sarkar Jahan Sirf Azadar Milay
Is Tasawwur Ka Hai Izhar Ya Ali Apki Sarkar

Chahtay Hain Yeh Azadar
Ya Ali Apki Sarkar
Ya Ali Apki Sarkar

Aisa Mahol Jahan Maot Kay Bazar Na Hon
Gali Koochon Mein Jahan Khaof Kay Asaar Na Hon
Aisi Mahol Jahan Log Sitam Gaar Na Hon
In Umeedon Ka Hai Shahkaar Ya Ali Apki Sarkar

Chahtay Hain Yeh Azadar
Ya Ali Apki Sarkar
Ya Ali Apki Sarkar

Tera Waris Jo Bana Dey Wohi Qanoon Chalay
Jo Hon Insaaf Kay Talib Unhen Insaf Milay
Qaomi Parcham Ki Jaga Parcham E Abbas Khulay
In Khayalaat Ki Maymaar Ya Ali Apki Sarkar

Chahtay Hain Yeh Azadar
Ya Ali Apki Sarkar
Ya Ali Apki Sarkar

Gham Sehtay Sehtay Thak Gaye Qarar Chahiye
Ab Zulm Kay Sar Par Teri Talwar Chahiye
Is Khaof Ky Mahol Say Tang Aa Chukay Hain Hum
Ay Waris E Haider Teri Sarkar Chahiye

Sarkar Chahiye Teri Sarkar Chahiye
Ay Waris E Haider Teri Sarkar Chahiye

Waris E Taigh E Ali Ab Zaroorat Hai Teri
Lay Kay Ab Izn E Khuda Parda E Ghaib Utha
Hai Muhibbon Ki Sadaa Ab Hukoomat Ho Teri

Sarkar Chahiye Teri Sarkar Chahiye
Ay Waris E Haider Teri Sarkar Chahiye

Badal Tera Duldul Hai Mashiyat Teri Tameel
Kaaba Tera Mimbar Hai Sahayef Teri Tarteel
Eesa Tera Salman Hai Qambar Tera Jibreel
Haajib Tera Ilyas Sipahi Tera Hizqeel
Han Mehdi E Haq Dehr Mein Kehtay Hain Usi Ko
Haq Cheen Kay Zalim Say Jo Day Bint E Nabi Ko

Sarkar Chahiye Teri Sarkar Chahiye
Ay Waris E Haider Teri Sarkar Chahiye

Woh Waqt Tu Hi Laye Ga Zehra Kay Dill Ky Chain
Qibla Kabhi Ho Kaaba Kabhi Roza E Hussain
Paaposh E Murtaza Kay Ewaz Hum Na Len Kabhi
Hum Ko Agar Hukoomat E Arz O Samaa Milay
Minnat Karen Malak To Na Jayen Bahisht Mein
Rehnay Kay Wastay Jo Hamen Karbala Milay

Jahan Ghar Baar Luta Khanjar E Zulm Chala
Haye Zehra Ka Pisar Jahan Pamaal Hua
Usi Maqtal Mein Hamen Kash Mil Jaye Jaga
Ho Hamari Bhi Lahad Barsar E Karbobala
Hai Yeh Mazhar Ki Sada Mango Farhan Dua
Raat Din Suntay Rahen Waa Hussaina Ki Sada

Hussain Hussain Hussain Hussain
Hussain Hussain Hussain Hussain

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply