Reciter: Mesum Abbas

Ya Fatima Ya Zahra

Assalam O Alaike Ya Fatima Taz Zahra
Ya Sayedata Nisaa El Aalameen

Tum Nay Hum Ko Na Bhulaya
Hum Nay Tum Ko Na Bhulaya

Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa
Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa

Ya Fatima Salam Ullah Alaiha
Ya Fatima Salam Ullah Alaiha

Tujh Pay Shehzadi E Konain Meri Jan Fida
Kya Mila Tujh Ko Zamanay Say Masayeb Kay Siwa
Baad Payghambar E Islam Hui Aur Jafa
Chini Jageer E Fidak Baap Ka Wirsa Na Diya
Tujh Ko Jhutlaya Gaya Kitna Tarhpaya Gaya
Haye Afsos Muhammad Ka Chaman Loot Liya

Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa
Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa

Woh Jo Rehtay Thay Shifa’at Kay Talabgar Sabhi
Aa Gaye Ghar Ko Jalanay Woh Sitamgaar Sabhi
Tu Nay Ayaat Suna Deen Sar E Darbar Sabhi
Phir Bhi Jhutlatay Rahay Tujh Ko Gunehgaar Sabhi
Tu Nay Jab Noha Kiya Hans Diye Ahl E Jafa
Aur Quran Ki Ayaat Nay Yeh Bayn Kiya

Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa
Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa

Pasliyan Toot Gaiin Jalta Hua Dar Jo Gira
Aur Mohsin Ki Shahadat Ka Tujhay Dard Mila
Roye Is Bat Pay Haider Jo Tujhay Ghushl Diya
Ta Dam E Marg Tera Hath Na Pehloo Say Hata
Kiun Chupaya Tha Bhala Tu Nay Yeh Zakhm E Jafa
Main Teray Baad Isi Baat Pay Hun Mehw E Buka

Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa
Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa

Maan Chali Jaye To Lagta Hai Khuda Rooth Gaya
Sayebaan Koi Nahi Duniya Mein Madar Say Barha
Meri Bibi Teri Maiyat Pay Yeh Baiton Nay Kaha
Neend Raaton Ki Gai Aap Ka Saya Jo Utha
Hum Ko Tarhpao Nahi Chorh Kay Jao Nahi
Ab Kahan Payen Gay Hum Aap Kay Aanchal Ki Hawa

Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa
Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa

Main Teray Naam Ki Tasbeeh Hi Jo Parhta Hun Kabhi
Khoon Rulati Hai Mujhay Teri Museebat Bibi
Woh Ibadat Woh Musallay Pay Teri Noha Gari
Hath Ek Pehloo Pay Ek Hath Say Tasbeeh Parhi
Woh Rukooh Aur Sujood Teri Ghurbat Pay Durood
Is Aziyat Mein Namazen Na Huiin Teri Qaza

Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa
Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa

Ek Pal Ko Bhi Teray Gham Ko Na Main Bhool Saka
Teri Marqad Ka Suna Phir Main Baqaiyyah Pahuncha
Woh Udasi Woh Andhera Woh Sitam Gaar Fizaa
Haye Marqad Ki Alamat Ko Bhi Rehnay Na Diya
Roza Ban Jaye Tera Yeh Hai Armaan Mera
Phir Wahan Jayen Ziyarat Ko Sabhi Ahl E Aza

Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa
Ya Fatima Salam Ullah Alaihaa

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply