Reciter: Mir Hasan Mir
Ya Ghareeb Ya Hussain
Haye Ghareeb Haye Hussain
Haye
Maqtal Mein Gir Raha Hai Sambhalo Hussain Ko
Ya Fatima Ridaa Main Chupa Lo Hussain Ko
Ya Fatima Ridaa Main Chupa Lo Hussain Ko
Maqtal Mein Gir Raha Hai Sambhalo Hussain Ko
Ya Fatima Rida Mein Chupa Lo Hussain Ko
Paiwast Hain Ghareeb Ky Pehloo Mein Barchian
Tum Ko Bhi Uthny Deti Nahi Tooti Paslian
Ly Kar Ali Ka Naam Utha Lo Hussain Ko
Ya Fatima Ridaa Main Chupa Lo Hussain Ko
Deewar O Dar Ke Beech Jo Armaan Reh Gaye
Rakhi Hui Thi Dill Mein Jo Mohsin Ky Wasty
Woh Lorian Bhi Aj Suna Do Hussain Ko
Ya Fatima Ridaa Main Chupa Lo Hussain Ko
Sola Pehr Ki Pyas Hai Aur Hai Labon Py Dam
Haye Dy Kar Ghareeb Bety Ko Abbas Ki Qasam
Pani Agar Mily To Pila Lo Hussain Ko
Ya Fatima Ridaa Main Chupa Lo Hussain Ko
Sheh Ki Ghareeb Beti Ky Arman Ki Tarah
Goudi Mein Ly Ky Teesri Shabaan Ki Tarha
Kuch Dair Ho Saky To Sulo Lo Hussain Ko
Ya Fatima Ridaa Main Chupa Lo Hussain Ko
Haider Tarhap Rahy Hain Payambar Hain Bey Qaraar
Tum Kaisy Sun Rahi Ho Sadayen Yeh Bar Bar
Ik Shor Hai Zameen Par Gira Lo Hussain Ko
Ya Fatima Ridaa Main Chupaa Lo Hussain Ko
Achy Nahi Irady Yazeedi Sipah Ky
Paon Nikal Rahy Hain Rakaabon Sy Shah Ky
Ghazi Nahi Hai Tum Hi Sambhalo Hussain Ko
Ya Fatima Rida Main Chupa Lo Hussain Ko
Zainab Sada Yeh Deti Hai Ay Bey Qaraar Maan
Zakhmon Ko Mil Ky Bandhen Gi Haider Ki Betian
Khaimy Mein Aik Bar Bula Lo Hussain Ko
Ya Fatima Ridaa Main Chupa Lo Hussain Ko
Rony Lagi Ay Mir Takaluum Woh Gham Zada
Phaila Ky Apny Hath Jo Shabbir Ny Kaha
Goudi Mein Thori Dair Sula Lo Hussain Ko
Ya Fatima Ridaa Main Chupa Lo Hussain Ko