Reciter: Karbalai Brothers

Haye
Jab Jaltay Darr Kay Neechay Say Khair Un Nisa Uthiin
Ghar Mein Ali Kay Ranj O Alam Ki Hawa Uthi
Hujray Ki Samt Chaltay Huye Barha Giri
Zakhmon Say Choor Bibi Kay Labb Say Sada Uthi

Pehloo Ko Thamay Kehti Thiin Yeh Dukhtar E Nabi Ya Murtaza Ali

Pehloo Ko Thamay Kehti Thiin Yeh Dukhtar E Nabi Ya Murtaza Ali
Rukhsat Ka Waqt Hai Meri Sansen Hain Akhri Ya Murtaza Ali

Pehloo Ko Thamay Kehti Thiin Yeh Dukhtar E Nabi Ya Murtaza Ali

Pehloo Say Hath Uthana Bhi Mumkin Nahi Raha
Jis Ka Tha Intezar Woh Mohsin Nahi Raha
Deewar O Darr Kay Beech Mein Main Dabb Kay Reh Gai
Ya Murtaza Ali

Pehloo Ko Thamay Kehti Thiin Yeh Dukhtar E Nabi Ya Murtaza Ali

Kis Tarah Jee Rahi Hun Yeh Kaisay Karun Bayan
Main Jab Bhi Sans Leti Hun Dukhti Hain Pasliyan
Jeenay Na Day Gi Ab Mujhay Shiddat Yeh Dard Ki
Ya Murtaza Ali

Pehloo Ko Thamay Kehti Thiin Yeh Dukhtar E Nabi Ya Murtaza Ali

Haye
Poocho Nah Kis Tarah Say Yeh Zahra Nay Gham Saha
Ro Ro Kay Mujh Ko Mera Hasan Daikhta Raha
Kha Kar Tamancha Jis Gharhi Main Khak Par Giri
Ya Murtaza Ali

Pehloo Ko Thamay Kehti Thiin Yeh Dukhtar E Nabi Ya Murtaza Ali

Balon Mein Hai Safaidi Ajab Haal Ho Gaya
Chalti Hun Ab To Ghar Mein Bhi Main Tham Kar Asaa
Atthaarwain Baras Mein Zaeefa Main Ho Gai
Ya Murtaza Ali

Pehloo Ko Thamay Kehti Thiin Yeh Dukhtar E Nabi Ya Murtaza Ali

Waday Kiye Jo Baba Say Saray Nibhaye Hain
Main Nay Ghadeer Kay Liye Sadmay Uthaye Hain
Main Aap Ki Wila Kay Liye Aag Par Chali
Ya Murtaza Ali

Pehloo Ko Thamay Kehti Thiin Yeh Dukhtar E Nabi Ya Murtaza Ali

Bhooli Nahi Hun Aap Ki Ghurbat Ka Woh Safar
Main Dard Taziyanon Kay Sehti Rahi Magar
Rassi Galay Mein Aap Kay Daikhi Nahi Gai
Ya Murtaza Ali

Pehloo Ko Thamay Kehti Thiin Yeh Dukhtar E Nabi Ya Murtaza Ali

Zeeshan Ro Kay Boliin Yeh Akhir Mein Fatima
Daikho Meray Janazay Pay Qaatil Na Ho Mera
Maiyat Uthana Raat Ki Tareeki Mein Meri
Ya Murtaza Ali

Pehloo Ko Thamay Kehti Thiin Yeh Dukhtar E Nabi Ya Murtaza Ali

Urdu Lyrics

Join Khairilamal on WhatsApp

WhatsApp

Leave a Reply