Ya Nabi Aap Kee Beti Ko Lyrics Bibi Fatima Noha Syed Ali Oseja Rizvi

Ya Nabi Aap Kee Beti Ko Lyrics written in urdu and englisht text and recited by noha khuwan Syed Ali Oseja Rizvi in Ayam e Fatima. View and download Syed Ali Oseja Rizvi noha lyrics similar to lyrics of Ya Nabi Aap Kee Beti Ko on Khairilamal.

Ya Nabi Aap Kee Beti Ko Lyrics in english text

Satatay Kiun Hain Satatay Kiun Hain
Ya Nabi Aap Kee Beti Ko Satatay Kiun Hain

Us Py Jalta Hua Darwaza Giratay Kiun Hain
Ya Nabi Aap Kee Beti Ko Satatay Kiun Hain

Meri Zahra Ko Mery Baad Rulana Na Tum
Tera Farman Yeh Kam Zarf Bhulatay Kiun Hain

Ya Nabi Aap Kee Beti Ko Satatay Kiun Hain

Hukm Ahmad Ka Bhi In Logon Ny Jhutlaya Hai
Aur Tehreer Ko Tukron Mein Urhatay Kiun Hain

Ya Nabi Aap Kee Beti Ko Satatay Kiun Hain

Jis Py Ahmad Ny Hai Aaya E Tatheer Parhi
Wohi Darwaza E Zahra Yeh Jalatay Kiun Hain

Ya Nabi Aap Kee Beti Ko Satatay Kiun Hain

Jo Janazay Py Tery Baba Nahi Aaye Thy
Tery Qaatil Ko Woh Mimbar Py Bithatay Kiun Hain

Ya Nabi Aap Kee Beti Ko Satatay Kiun Hain

Zulm Ashaab Ny Zahra Py Kiya Hai Kiun Kar
Bint E Ahmad Ko Tamanchay Yeh Lagatay Kiun Hain

Ya Nabi Aap Kee Beti Ko Satatay Kiun Hain

Haan Inhen Ayat E Fil Qurbaa Bhi Ab Yaad Nahi
Zulm Sy Bint E Muhammad Ko Rulatay Kiun Hain

Ya Nabi Aap Kee Beti Ko Satatay Kiun Hain

Parhnay Waly Thy Woh Kalma Bhi Magar Ay Qambar
Phir Bhi Darbar Mein Zahra Ko Bulatay Kiun Hain

Ya Nabi Aap Kee Beti Ko Satatay Kiun Hain

 

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *