Reciter: Tejani Brothers
Haye Sakina Haye Pyaas
Yaad Rakho Ay Mominon Jab Bhi Piyo Pani
Shaam Mein Sakina Hai Aaj Bhi Pyasi
Sookha Gala Sookhi Zuban Sookhy Huye Labb Hain
Aram Ky Imkan Us Nadaan Ko Kab Hain
Tishna Jigar Mazloom Hai Mazlum Ki Jaai
Shaam Mein Sakina Hai Aaj Bhi Pyasi
Yad Rakho Ay Momino Jab Bhi Piyo Pani
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Zakhmi Lavein Zakhmi Gala Zakhmi Kalaija Hai
Shimr E Laeen Ky Zulm Sy Rukhsar Neela Hai
Ashkon Ka Ek Darya Hai Jo Ankhon Sy Hai Jari
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Yad Rakho Ay Mominon Jab Bhi Piyo Pani
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Soz E Atash Sy Haddiyan Jaisy Sulagti Hain
Dard E Jigar Barhta Hai To Aahen Nikalti Hain
Roti Hai Us Ki Pyas Par Ammu Ki Saqqayi
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Yad Rakho Ay Mominon Jab Bhi Piyo Pani
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Ay Bibi Hum Nazren Dilaty Hain Sabeelon Par
Aansoo Bahaty Rehty Hain Pyasy Shaheedon Par
Woh Tashnagi Kaisi Thi Jo Ab Tak Na Bujh Pai
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Yad Rakho Ay Momino Jab Bhi Piyo Pani
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Turbat Ke Ek Goshy Mein Woh Gham Sy Tarhapti Hai
Ammu O Baba Ko Bhi Woh Awaz Deti Hai
Har Samt Jab Chaa Jati Hai Raton Ko Khamoshi
Shaam Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Yad Rakho Ay Momino Jab Bhi Piyo Pani
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Ahl E Sitam Ke Shehar Mein Bali Sakina Hai
Ab Bhi Jahan Mahol Mein Wehshat O Keena Hai
Likhi Hai Is Masum Ki Qismat Mein Weerani
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Yad Rakho Ay Momino Jab Bhi Piyo Pani
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Rozy Py Is Ehsas Sy Phat Jata Hai Seena
Is Jaa Py Hi Nadan Ko Dushwar Tha Jeena
Woh Jaan Balab Soz E Atash Ko Seh Nahi Payi
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyari
Yad Rakho Ay Momino Jab Bhi Piyo Pani
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Zulmo Sitam Ab Bhi Rawa Hai Is Elaqay Mein
Har Soo Udasi Ki Fiza Hai Is Elaqay Mein
Lagta Hai Yeh Keh Aj Bhi Qaidi Hai Shahzadi
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Yad Rakho Ay Mominon Jab Bhi Pio Pani
Sham Mn Sakina Ha Aj Bhi Pyasi
Lehjay Mein Tejani Kay Jo Gham Ka Ta’asur Hai
Ashkon Sy Num Har Aik Ki Chashme Tasawwur Hai
Maqbool Ho Jaye Nigaar Apni Azadari
Sham Mein Sakina Hai Aj Bhi Pyasi
Yad Rakho Ay Mominon Jab Bhi Pio Pani
Sham Mn Sakina Ha Aj Bhi Pyasi